Ashkon ka meri aankh mein toofan utha ho

Ashkon ka meri aankh mein toofan utha ho
Aur jism tere shaher ki mitti se bana ho
Ye haal mera saara jahaan dekh raha ho
Dil dard se bismil ki tarah lot raha ho
Seene pe tasalli ko tera haath dhara ho.

Mujrim ki tarha aap ke kadmo me pada ho
Hoto pe fakat salle ala salle ala ho
Ho jaye agar aesa to mat puch ye kiya ho
Gar bakte ajal sar teri chokhat pe jhuka ho
Jitni ho kaja ek hi sajde me ada ho

Jo Chand ke tukde kare sooraj ko phira de
Jo galiyan sunkar bhi hidayat ki dua de
Ek doodh ke pyale mein ho sattar ko pila de
Mangta to hai mangta koi shahon mein dikha de
Jisko mere sarkar se tukda na mila ho.

Aamal hi denge lage his waqt gawahi
chehre pe gunaahon ke sabab chai siyahi
Mujrim ki Karen aap agar pusht panahi
Dhoonda hi kare sadre qayamat ke Sipahi
Wo kis ko mile Jo tere Daman mein chupa ho.


Khushboo na ye duniya se kahin jaae ilahi
Duniya e lahad mein main chamak jaaon ilahi
Udti hui saugaat waheen jaae ilahi
Mitti na ho barbaad pas e marg ilahi
Jab khaak ude meri madine ki hawa ho.


Related Content

  1. Mera Dil Tadap Raha Hai  Naat Lyrics
  2. Kya Jane Duniya Wale Rutba Mere Madani Ka  Naat Lyrics
  3. Ay Mujahid-e-nabi Naat Gongunay Jaaa (Naat Lyrics)
  4. Arzo Sama Banay Hain – Naat Lyrics
  5. Imdad Kun Imdad Kun Ya Ghaus E Azam Dastagheer   Naat Lyrics
  6. Habib-e-Khuda Ka Nazaara Karoon Mein   Naat Lyrics
  7. Gali Hondi Madine Di Lyrics
  8. Manqabat E Taaj Ush Shariyath  Naat Lyrics
  9. Jhoole Jhoole Pyare Mohammad  Naat Lyrics
  10. Raate Bhi Madine Kee Baate Bhi Madine Kee  Naat Lyrics
  11. Karam Karam Mola
  12. Kare Chara Sazi Ziyarat Kisi Ki  Naat Lyrics
  13. Na Aasmaan Ko Yun Sar Kashida Hona Tha  Naat Lyrics
  14. Rabbana Ya Rabbana  Naat Lyrics
  15. Lab Pe Aati Hai Dua Banke Tamanna Meri  Naat Lyrics
  16. MEHBOOB DA MELA AE
  17. Soona jungle raat andheri chaye hai
  18. Aamad E Mustafa Se Hai Phoola Phala Chaman Chaman
  19. Mere Dil Mein He Yaad-E-Muhammad  Naat Lyrics
  20. Hum Ko Sarkar Madine Me Bulaana Hoga  Naat Lyrics

Leave a comment