Hum Ko Sarkar Madine Me Bulaana Hoga  Naat Lyrics

Hum ko Sarkar Madine me Bulaana Hoga
Dard Mando Ko Bhi Seene Lagaana Hoga

Jo Tadaptein Hain Gareebi me Huzoori ko Huzoor
Paas Unko Bhi Tumhe Apne Bulaana Hoga

Hum ne Sarkar SallAllahu Alaihi Wasallam ki Mehfil ko Sajaana Hoga
Dekhna Phir Mere Sarkar SallAllahu Alaihi Wasallam ka Aana Hoga

Naat Likhta hi Rahun Naat Main Padhta hi Rahun
Khud hi Bas Mere Jaane Ka Thikaana Hoga

Main to Unka Hun Gadaa Qabr me Bhi Keh Duga
Naar e Dozakh se Ye Bachne ka Bahaana Hoga

Tu Kyun Ghabraaye Bhalaa Unka SanaKhwaan Ho Kar
Hashr Tak Saath Tere Tera Hi Aaqa Hoga

Aaj Qadmon me Beetha Kar Mujhe Izzat Bakhshi
Baad Marne k Bhi Qadmon me Sulaana Hoga

Tu Kyun Ghabraaye Bhalaa Aaley Mohammed Ho Kar
Hashr Tak Saath Tere Tera hi Nana Hoga

Eid e Milad ka Sadqa Humein Eidi De do
Aaj Hum Sab pe Bhi Eidi ko Lutaana Hoga

Do Ijaazat Mujhe Bhi Laut k Aane ki Shahaa
Phir Mujhe Jald hi Qadmon me Bulaana Hoga

Waasta Zehra o Hasnain o Ali Ka Tum ko
Ranj o Gam Dard o Alam Sab k Meetaana Hoga

Sayyed e Khastaa ki Hai Aarzu Itni Aaqa
Waqt e Rukhsat Bhi Tumhe Jalwa Dikhaana Hoga


Related Content

  1. Aadha Idhar Aadha Udhar
  2. Ban Ke Noor E Khuda Mustafa Agaye
  3. Madine Ke Waali Do Alam Ke Data Naat Lyrics
  4. Saare Jag Nalo Lagdiyan Changiyan Madine Diyan Paak Galiyan
  5. Barhy jo karky vo
  6. Aa mil yaar saar le meri, meri jaan dukhaan ne
  7. Ya Rabb Mujhe Deewana Madina Ka Bana De (Naat Lyrics)
  8. Aa Gaye Aa Gaye Mustafa Aa Gaye
  9. Ali Haidar ka gharana
  10. Dar e Nabi Par Ye Umar Bite Ho Mujhpe Lutf e Dawaam Aisa Naat Lyrics
  11. Un Ki Nazar Mein
  12. Hum Apni Hasrat E Dil Ko Mitane Aaye Hai  Naat Lyrics
  13. Huzoor Aisa Koi Intezam  Naat Lyrics
  14. Aankhon ka taara naame Muhammed
  15. Kya Jane Duniya Wale Rutba Mere Madani Ka  Naat Lyrics
  16. A’lam-E-Islam Ko Ye Eid-E-Milaad-Un-Nabi
  17. Nabi Ka Jashn Aaya  Naat Lyrics
  18. YA RAB MERI SOI HUYI TAQDEER
  19. Har Waqt Tasaw’wur Mein Madine Ki Gali Ho  Naat Lyrics
  20. Bulalo Phir Mujhay Ey Shahe Bahrobar, Madinay Main   Naat Lyrics

Leave a comment