Karam Ke Badal Baras Rahe Hain  Naat Lyrics

Karam Key Badal Baras Rahe Hain

Dilon Ki Kheti Hari Bhari Hai

Yeh Kon Aya Key Zikr Jin ka

Nagar Nagar Hai Gali Gali Hai

Diye Dilon Key Jala Key Rakha

Nabi Ki Mehfil Saja Key Rakhna

Jo Rahate Dil Suqoone Jan Hai

Woh Zikr Zikre Muhammadi Hai

Jo Galiya Sun Key De Duayen

Bado Ko Apne Galle Lagaye

Sarapa Lutfo Karam Jo Thehri

Woh Mere Aqa Ki Zindigi Hai

Nabi Ko Apna Khuda Na Mano

Khuda Se Lekin Juda Na Jano

Hai Ahle Iman Ka Ye Aqeeda

Khuda Khuda Hai Nabi Nabi Hai

Main Apni Qismat Pe Kyun Na Jhoomu

Main Kyun Na Waliyon Key Dar Ko Choomu

Main Nam Lewa Hu Mustafa Ka

Khuda Key Bandon Se Dosti Hai

Hai Dosh Par Jin Key Kamli Kali

Wohi To Hain Do Jahan Key Wali

Koi Sawali Na Bejha Khali

Ye Shan Mere Kareem Ki Hai

Na Mango Dunya Key Tum Khazane

Niyazi Ao Chalein Madine

Key Badshah Se Bhadh Key Piyare

Nabi Key Dar Ki Gadagari Hai


Related Content

  1. Main Muddat Se Is Aas Par Ji Rahi Hoon  Naat Lyrics
  2. Jo Guzar Nasib Ho Aey Saba Kisi Din Diyaare Hijaaz Mein
  3. Mujhe Apna Bana Lo Tum Khudara  Naat Lyrics
  4. Is Karam Ka Karoon Shukr Kaise Ada   Naat Lyrics
  5. Karam Karte Ho Rehte Ho Karam Kartey Hee Rehna Tum
  6. MADINE WAALE MERI LAAJPAL
  7. Delhi Rajasthan Tumhara Ya Khwaja  Naat Lyrics
  8. Meri Tauba Meri Tauba  Naat Lyrics
  9. Aadha Idhar Aadha Udhar
  10. Jab Masjid e Nabawi Ke Minaar Nazar Aye
  11. Muhammad Ke Ghulamon Ka Kafan Maila Nahi Hota Lyrics
  12. Mera Dil Tadap Raha Hai  Naat Lyrics
  13. Jab Masjid Nabvi Kay Minaar Nazar Aey (Naat Lyrics)
  14. Kaabe Ke Badrud Duja Tum Pe Karoron Durood  Naat Lyrics
  15. Sahab E Rehmat E Baari Hai Barahvi Tareekh
  16. Arsh Ki Aql Dang Hai Charkh Pe Asmaan Hai  Naat Lyrics
  17. Rehmat Baras Rahi Hai Muhammad Ke Shaher Mein  Naat Lyrics
  18. Nabi Ki Naat Me Padh Lun To Koi Baat Nahi
  19. Lab Pe Naat Paak Ka Naghma Kal Bhi Ta
  20. Aa Jaye Bulawa Mujhe Aqa Tere Dar Se

Leave a comment