Fat’he Baabe Nubuwwat Pe Bayhad Durood

Fat’he baabe nubuwwat pe bayhad durood
Khatme dauray risaalat pe lakhon salaam

Jis ke aage saraysarwara kham rahe
Us saretaaj rif’at pe lakhon salaam

Jis ke maathe shafa’at ka sehra raha
Us Jabheene sa’adat pe lakhon salaam

Jis taraf uth gaee dham may dham aagaya
Us nigaahe inayat pe lakhon salaam

Wo dahan jis ki har baat wahiye Khuda
Chashmae ilmo hikmat pe lakhon salaam

Wo zabaan jis ko sab kun ki kunjee kahen
Us ki naafaz hukumat pe lakhon salaam

Hajjre Aswad-e Ka’ba-e Jano Dhil
Ya’nee Mohre Nubuwwat pe lakhon salaam

Kul jahan milk aur jaun ki roti gizaa
Us shikan ki qana’at pe lakhon salaam

Jis suhanee garee chamka Tayba ka chaandh
Us dhil afroze sa’at pe lakhon salaam

Unke Maula ke un par karoron durood
Unke as’haab-o-‘itrat pe lakhon salaam

Kaamilaane Tariqat pe kaamil durood
Haamilaane Shariat pe lakhon salaam

Ek mera hee Rahmat pe da’wa naheen
Shah ki saari ummat pe lakhon salaam


Related Content

  1. Khairat Lene Aagaye Mangte Tumhare Khwaja  Naat Lyrics
  2. Haajiyon Aao Shahenshah ka Roza Dekho Naat Lyrics
  3. Do Jahaan Ke Waali Ka  Naat Lyrics
  4. Mujh Pe Maula Ka Karam Hai  Naat Lyrics
  5. Woh Nabiyon Main Rehmat Laqab Panay Wala
  6. Aankhein Ro Ro Ke Sujane Wale Naat Lyrics
  7. Kiya Khabar Kiya Sazaaa Much Ko Miltii
  8. Jo Madina Hum Bhi Jaate (Naat Lyrics)
  9. Ilahi Madad Kar Madad Ki Ghari   Naat Lyrics
  10. Faslon Ko Takalluf Hai Humse Agar  Naat Lyrics
  11. Haiya Alas Salah Haiya Alah Falah
  12. Kya Bayaan Azmatein Hon Teri Shaha
  13. Aaqa Meriyan akhiyan madine wich reh gayan lyrics
  14. Ye Zakm He Tayba Ka Ye Sub Ko Nahein Milta
  15. Jab Say Howa Hey Unka Karam
  16. Piraane Pir, Meri Bigri Banaao  Naat Lyrics
  17. Aye Naseeb Mere Naseeb Tu
  18. Aaqa Ke Ghulamon Ko Ab Eid Manane Do   Naat Lyrics
  19. Kab Talak Muntazir Hum Rahein Ya Nabi  Naat Lyrics
  20. Wah Kya Joodo Karam Tazmeen

Leave a comment