Dil Madina Mera Bana Aaqa Naat Lyrics


Dil madina mera bana Aaqa ,

Ho mujhe chashm-e-nam ataa Aaqa



Ab huzoori ho, dur doori ho,

Phir madine mujhe bula Aaqa



Maut ke baad, bhi suroor aee,

Aisi ulfat ki mai pila Aaqa



Mujh ko Siddiq (Radi Allahu Anhu) ki sadaqat ka,

Koi zara Tu kar ataa Aaqa



Kash roe Khashiyat-e-Rab se,

Behr-e-Farooq dil mera Aaka





Behr-e-Usman ba hea mujh ko,

Dijiye dolat-e-hea Aqa



Behr-e-Mola Ali mujhe ghalba,

Dushmano per tu kar ataa Aaka



Az pee Fatima mujhe apne,

Ishq mein har ghari rula Aaka



Behr-e-Hasnain de panah mujh ko,

Paikar-e-sabr or riza Aaqa



Mujh ko sadqe mein Bu-Hanifa ke,

Aalim-e-baa amal bana Aaqa



Waasta tujh ko Ghous-e-Azam ka,

Naik seerat mujhe bana Aaqa



Waasta tujh ko Alahazrat ka,

Tu mujhe muttaqi bana Aaqa



Mere ahlo-eaal ore mujh se,

Door ho jee har bala Aaqa



Muskura kar Ubaid se keh do,

Tu mera banda mein tera Aaqa



Dil Ki Duniya Ko Sajao Aaqa Naat Lyrics

Dil Ko Unse Khuda Juda Na Kare Naat Lyrics

Dil Main Ishq E Nabi Ki Ho Aisi Lagan Naat Lyrics


Related Content

  1. Jahan Bani Ata Karde  Naat Lyrics
  2. An Nabi Sallo Alaih  Naat Lyrics
  3. Chamak Tujh Say Paatay Hain
  4. Fauze Ghum Ki Baraa Bar Chadhayi Hai  Naat Lyrics
  5. Dare Nabi Par Para Rahoon Ga Naat Lyrics
  6. Aa Jaye Bulawa Mujhe Aqa Tere Dar Se
  7. Ay HabeeB E Ahmed E Mujtaba Dil E Mubtala Ka Salam Lo
  8. Baat Kar Madine Ki Naat Lyrics
  9. Dekar Khuda Ko Jaan Ki Kimat  Naat Lyrics
  10. Abr e Karam Gesoo E Muhammad
  11. Sarkar Ka Madina  Naat Lyrics
  12. DIL KI MURAAD PAA?E GHE AAJ NAHEIN TO KAL SAHEE
  13. Karbala K Jan Nisaro Ko Salam  Naat Lyrics
  14. Meray Rub Kahan Par Naheeh Hai Tu
  15. Salle Ala Nabiyena. Salle Ala Muhammadin
  16. Barhy jo karky vo
  17. Chor Fikr Duniya Ki Chal Madine Chalte Hain
  18. Kiya Khabar Kiya Sazaaa Much Ko Miltii
  19. Arsh e aazam kyu na phade fhir khutba fazley rahma ka
  20. Munawwar Meri Aankhon ko Naat Lyrics

Leave a comment