Parho Durood Kay Molood Ki Ghari Aayi  Naat Lyrics

Parho Durood Kay Molood

Yaa Rasool Allah Salla Alaik

Yaa  Habeeb Allah Sallim Alaik

Har Ek Saa’at-O-Lamha Hai Qeemti Is Ka

Har Ek Raat Se Barh Kar Mila Isay Rutba

Isi Liye To Ye Shab Behtreen Kehlaayi

Parho Durood K Molood Ki Ghari Aayi

Yaa Rasool Allah Salla Alaik

Yaa  Habeeb Allah Sallim Alaik

Khuda Ka Shukr Karo Or Parho Durood Un Per

K Aaj Laaye Hain Tashreef Hadi-O-Rehbar

Zamanay Bhar Mein Hai Mash’hoor Jin Ki Yaaktayi

Parho Durood K Molood Ki Ghari Aayi

Yaa Rasool Allah Salla Alaik

Yaa  Habeeb Allah Sallim Alaik

Chhatay Hain Badal-E-Ghum Khushian Sath Laayi Hain

Har Ek Chehray Pe Ab Muskurahat Aayi Hai

Har Ek Dil Mein Khushi Ki Baji Hai Shehnai

Parho Durood K Molood Ki Ghari Aayi

Yaa Rasool Allah Salla Alaik

Yaa  Habeeb Allah Sallim Alaik

Jahan Mein Subz Parchamon Ki Bahar Aayi Hai

Or Aashiqon Ne Makaan Har Gali Sajaai Hai

Hai Shaad Shaad Nabi Ka Har Ek Tamannayi

Parho Durood K Molood Ki Ghari Aayi

Yaa Rasool Allah Salla Alaik

Yaa  Habeeb Allah Sallim Alaik

Jahan Goonj Utha Marhaba K Naaron Se

Khushi Hai Kaisi Na Poocho Ye Ghum K Maaron Se

Yehi Wohi Raat Hai Jo Kaif Ka Samaan Layi

Parho Durood K Molood Ki Ghari Aayi

Yaa Rasool Allah Salla Alaik

Yaa  Habeeb Allah Sallim Alaik

Unhi K Dar Se Daryaa-E-Jood Behtay Hain

Wo Aaye Jo Nahi Saail Ko Nahi Kehte Hain

Sakhawat Aisi Ataa Rab Ne In Ko Farmayi

Parho Durood K Molood Ki Ghari Aayi

Yaa Rasool Allah Salla Alaik

Yaa  Habeeb Allah Sallim Alaik

Shab-E-Wiladat-E-Sarkar Ka Hai Ye Sadqa

K Mil Gayaa Hai Sana Ka Ubaid Ko Jazba

Musafir Is Ki Ye Mehnat Jabeen To Rang Laayi

Parho Durood K Molood Ki Ghari Aayi

Yaa Rasool Allah Salla Alaik

Yaa  Habeeb Allah Sallim Alaik


Related Content

  1. AA GAYE MAIDAN MAIN WAFADAR E SAHABA
  2. Kya Mehakte Hain Mahekne Wale
  3. Fat’he Baabe Nubuwwat Pe Bayhad Durood
  4. labbaik_labbaik_Allahumma_labbaik_naat_lyrics
  5. AAKHRI LAMHON MEIN KYA SHEHR O BIYABAAN DEKHUN,
  6. Kab Talak Muntazir Hum Rahein Ya Nabi
  7. Koi Nabi Nahi Hai Mere Mustafa Ke Baad  Naat Lyrics
  8. Muje Mere Aaka Bulate Rahenge  Naat Lyrics
  9. Sar Sue Rouza Jhuka Phir Tujhko Kya  Naat Lyrics
  10. Balaghal Ula Bi Kamalihi
  11. Meri Tauba Meri Tauba  Naat Lyrics
  12. Ajmer ka safar ab mujko ata ho khwaja
  13. Aale nabi khune khaatune jannat Gulzar e Millat….
  14. Salle Ala Nabiyena. Salle Ala Muhammadin
  15. Allah Allah Allahu,Allah Allah Allahu
  16. Aane Walon Yeh To Batao Lyrics
  17. Zikre Aaqa Se Seena Saja Hai Naat Lyrics
  18. Ya Habib e Ahmed Mujtaba Dil e Mubtala Ka Salam Lo
  19. Ho Karam Sarkar Ab To Ho Gae Ghum Beshumar Naat Lyrics
  20. MADINE WAALE MERI LAAJPAL

Leave a comment