Fida Kr Ishq-e-Nabi Par Jaan  Naat Lyrics

Fida kr Ishq-e-Nabi par jaan
muqammal karle tu Iman zamana yaad karegaJab yaad Nabi ki aati hai  ik kaif sa aalam hota hai
jab zikre Nabi chhid jata hai ik wajd ka mosam hota hai
Yahi to kahta hai Qur’an k Aaqa hai jaan-e-Iman
zamana yaad karega  zamana yaad karega

Sarkar se tu hai door magar Sarkar to tujh se door nahi
kyu khoya khoya rehta hai Mukhtar hai tu majboor nahi
Nabi ko pahle dil se maan, Nabi par sab kuch kar Qurbaan
zamana yaad karega zamana yaad karega

Aslaf ki hai taarikh yahi  sahil pe jala di hai kashtee
daudaye hain ghode dariya par kya Ishq-e-Nabi ki masti thi
Tumhi ho wo Mard-e-Maidan zara dhundo apni pahchan
zamana yaad karega   zamana yaad karega

Sarkar ke Jalwo se raushan Iman-o-Amal ki duniya hai
Sarkar ke deewano ki sada taqleed Zamana krta hai
Nabi ka dekh zara faizaan Ki taza ho jaye Iman
zamana yaad karega zamana yaad karega

Darbare wilayat kya kehna  jab unka ishara milta hai
baarah barso ki doobi kashti ko ik pal me kinara milta hai
Asad ye Ghaus ka hai faizan  hai jis se Fikr-o-nazar hairan
zamana yaad karega zamana yaad karega

Jo baat thi Aa’la Hazrat ki wo aaj kisi Molwi me nahi
Wo Ishq-e-Nabi ke Paikar the, tharrate the unse Dushman bhi
diya humko Kanzul Iman ye hai hum par unka ehsaan
zamana yaad karega zamana yaad karega


Related Content

  1. Aisa Bhi Ho Ya Syed-e-Abrar Kissi Din
  2. Naat Sarkar Ki Parta Hoon Mein  Naat Lyrics
  3. BALAGHAL ULA BE KAMALEHI SALLU ALAIHE WALEHI
  4. Naatein Sarkar Ki Parta Hoon Mein
  5. Woh Nabiyon Main Rehmat Laqab Panay Wala
  6. Arsh Ka Dulha Aaya Hai
  7. Baarwein Ka Chaand Aaya Lyrics
  8. Main Madine Chala  Naat Lyrics
  9. Falak Ke Naazaro Zameen Ki Bahaaro  Naat Lyrics
  10. Ae Noor-e-mujjassim
  11. Rahmat Ka Hai Darwaza Khula
  12. Dil Madina Mera Bana Aaqa
  13. Aaj Muhammad aye moray ghar
  14. A’lam-E-Islam Ko Ye Eid-E-Milaad-Un-Nabi
  15. Sunte Ho Bekaso Fariyad Ki Gause Aazam  Naat Lyrics
  16. Aadha Idhar Aadha Udhar
  17. Kabe Pe Pari Jab Pehli Nazar  Naat Lyrics
  18. Dare Khwaja Pe Sawali Ko Khada Rehne Do (Naat Lyrics)
  19. Imdad Kun Imdad Kun Ya Ghaus E Azam Dastagheer   Naat Lyrics
  20. Mere Allah Ke Nigaar Salaam  Naat Lyrics

Leave a comment