Al-madad, peeraan-e-peer ! Gaus-ul-aa’zam dast-geer !

Rutb ye wilaayat me.n kya Gaus ne paaya hai
Allah ne waliyo.n ka sardaar banaaya hai
Hai dast-e-‘ali sar par, hasnain ka saaya hai
Mere Gaus ki Thokar ne murdo.n ko jilaaya hai

Al-madad, peeraan-e-peer ! Gaus-ul-aa’zam dast-geer !
Al-madad, peeraan-e-peer ! Gaus-ul-aa’zam dast-geer !

Laakhon ne usi dar se taqdeer bana li hai
Bagdaadi sanwariya ki har baat niraali hai
Doobi hui kashti bhi dariya se nikaali hai
Ye naam adab se lo, ye naam jalaali hai

Al-madad, peeraan-e-peer ! Gaus-ul-aa’zam dast-geer !
Al-madad, peeraan-e-peer ! Gaus-ul-aa’zam dast-geer !

Har fikr se tum ho kar aazaad chale jaao
Le kar ke labo.n par tum fariyaad chale jaao
Milna hai agar tum ko waliyo.n ke shahansha se
Khwaaja se ijaazat lo, baGdaad chale jaao

Al-madad, peeraan-e-peer ! Gaus-ul-aa’zam dast-geer !
Al-madad, peeraan-e-peer ! Gaus-ul-aa’zam dast-geer !

Gaur keeje ki nigaah-e-Gaus ka kya haal hai
Hai qutub koi, wali koi, koi abdaal hai
Door hai jo Gaus se, bad-baKHt hai, bad-haal hai
Jo deewaana Gaus ka hai sab me.n be-misaal hai
Deen me.n KHush-haal hai, duniya me.n maala-maal hai

Al-madad, peeraan-e-peer ! Gaus-ul-aa’zam dast-geer !
Al-madad, peeraan-e-peer ! Gaus-ul-aa’zam dast-geer !

Milne ko shama’ se ye parwaana ta.Dapta hai
Qismat ke andhero.n me.n din-raat bhaTakta hai
Is ‘ishq-e-haqeeqi me.n itna to asar aae
Jab band karu.n aankhe.n, baGdaad nazar aae

Al-madad, peeraan-e-peer ! Gaus-ul-aa’zam dast-geer !
Al-madad, peeraan-e-peer ! Gaus-ul-aa’zam dast-geer !

Andaaz bayaa.n un ka ham kar nahi.n paaenge
Ajmer se ho kar ham baGdaad ko jaaenge
Jab aae bala ham par, ham un ko bulaaenge
Tum dil se sada to do, wo haath ba.Dhaaenge

Al-madad, peeraan-e-peer ! Gaus-ul-aa’zam dast-geer !
Al-madad, peeraan-e-peer ! Gaus-ul-aa’zam dast-geer !

Ya Gaus ! karam kar do, Ya Gaus ! karam kar do
Wo deen daulat se daaman ko mere bhar do
Bas itni guzaarish hai, bas ek nazar kar do
Bagdaad ki galiyon main Chhota saa mujhe ghar do

Al-madad, peeraan-e-peer ! Gaus-ul-aa’zam dast-geer !
Al-madad, peeraan-e-peer ! Gaus-ul-aa’zam dast-geer !


Related Content

  1. Piraane Pir, Meri Bigri Banaao  Naat Lyrics
  2. Jahan Roza-e-Pak Kher-ul-Wara (Naat Lyrics)
  3. Karam Hai Rab Ka Hamara Naseeb Aala Hai
  4. Allah Ni Yeh Shan Barhai, Tere Dar Ki
  5. Tala Al Badru Alyna
  6. Bulalo Phir Mujhay Ey Shahe Bahrobar, Madinay Main   Naat Lyrics
  7. Hum Ne Marny Ki Madiny men dua
  8. BIGRI BANAA-O MAKKI MADANI
  9. Baqi Sabey Galan Chutiyan Ney Sariyan Lyrics
  10. Ya Rab Hai Bakhsh Dena 
  11. Lutf Unka Aam Ho Hi Jayega  Naat Lyrics
  12. Sarkaar Ke Qadmo Mein  Naat Lyrics
  13. Takdir Muje Lai Sarkar Ke Roze Par  Naat Lyrics
  14. Maah E Rabi Ul Awwal Aaya  Naat Lyrics
  15. Na Tera Khuda Koi Aur Hai Lyrics
  16. Abhi jibril utre
  17. Mere Allah Ke Nigaar Salaam  Naat Lyrics
  18. ALIF ALLAH CHAMBAY DE BOOTI
  19. Hum Gunahgaaron Ka Aye Rab Ke Rasool
  20. Aaya Ramzan ka Mahina Kafila chala soo-e-Madina lyrics

Leave a comment