Sarkar Ka Madina  Naat Lyrics

Ushaaq Ka Hai Pyara Sarkaar Ka Madina
Har Aankh Ka Hai Pyara Sarkaar Ka Madina.Dekhi Sunehri Jaali Mehraab Unka Mimbar
Jannat Ka Hai Nazaara Sarkaar Ka Madina.

Gunmbad Minaar Unke Kya Khoob Lag Rahe Hai
Khulde Bari Ka Naqsha Sarkaar Ka Madina.

Jis Ko Yaqeen Na Aye Taiba Woh Dekh Aaye
Jannat Se Jaise Utra Sarkaar Ka Madina.

Daaman Me Hain Uhad Ke Turbat Ye Kya Niraali
Madfan Me Hai Iske Hamza Sarkaar Ka Madina.

Waan Hajio Ka Jaana Yaan Aasiyon Ka Aana
Hai Kaabe Ka Bhi Kaaba Sarkaar Ka Madina

Anwaar Hai Baraste Shaamo Sahar Yaha Par
Hain Kis Qadar Suhana Sarkaar Ka Madina

Sarkaar Ki Gali Me Gar Maut Aa Gayi To
Bakshish Ka Hai Sahara Sarkaar Ka Madina

Aye Kaash Maut Humko Taibe Nagar Me Aye
Bane Aakhri Thikana Sarkaar Ka Madina.

Hasnain O Fatima Ke Maula Ali Ke Sadqe
Rahe Yun Hi Aana Jaana Sarkaar Ka Madina

Rizwan Ki Dua Hai Ahmad Ki Iltija Hai
Bane Aankhri Thikana Sarkaar Ka Madina

Jaau Madine Phir Se Ye Aarzoo Dili Hai
Ahmad Ka Ho Thikana Sarkaar Ka Madina.


Related Content

  1. Islam Zindabad, Islam Zindabad
  2. Salle Ala Nabiyena. Salle Ala Muhammadin
  3. Main Bhi Roze Rakhunga Lyrics
  4. Noor Wala Aya Hai Naat Lyrics
  5. Subha Taibah Me Hui Bat’ta Hain Baada Noor Ka  Naat Lyrics
  6. Jhoole Jhoole Pyare Mohammad  Naat Lyrics
  7. An Nabi Sallo Alaih  Naat Lyrics
  8. Muhmmad Ruhi Fidaka Naat Lyrics
  9. Ya Rab Hai Bakhsh Dena 
  10. Kaabe Ke Dar Ke Saamne (Naat Lyrics)
  11. May So Jaoo Ya Mustafa Kehtey Kehtey (Naat Lyrics)
  12. Balaghal Ula Bi Kamalihi
  13. Har Waqt Tasaw’wur Mein Madine Ki Gali Ho  Naat Lyrics
  14. Mai Toh Miladi Hu  Naat Lyrics
  15. Mubarak Tujhay Ho Arz-e-Madina
  16. Sultane Jahan Mehboobe Khuda Teri Shaano Shaukat Kya Kehna  Naat Lyrics
  17. Mim Madina Marehara Ki Kismat   Naat Lyrics
  18. Meri Tauba Meri Tauba  Naat Lyrics
  19. MAIN MANGTA HAAN TERE ISHQ DA NAAT LYRICS
  20. Mangate Hain Karam Unka Sada  Naat Lyrics

Leave a comment