Gunahon Ki Adat Churah Meray Mowla  Naat Lyrics

Gunahon ki adat churah meray Mowla,

mujhay naik insaan bana meray Mowla

Meri saabiqa har khatha meray Mowla,
thu Rehmath sey apni mita meray Mowla

Thu qudrath say apni badal naikyon sey,
har ik meri laghzish khata meray Mowla

mujhay naik insaan bana meray Mowla
Jo Thuj ko jo Teray Nabi ko pasand hai,

mujhay aisa bandhah bana meray Mowla
Thu Masjood mera mey saajid hu Tera,

Thu Malik mey bandha Tera meray Mowla
Thu Matloob mera mey talib hu Tera,

mujhay deyday apni wila meray Mowla
mujhay naik insaan bana meray Mowla

Thu leyga agar adal sey kaam apnay,
mey hun mustahik naar ka meray Mowla

Thujay waastha Teri Rahmat ka Ya Rabb,
jahannam sey mujh ko bacha meray Mowla

Jo Rahmath Teri Shah miley haal ho tho,
tikana hey jannath mera meray Mowla

mujhay naik insaan bana meray Mowla
meri tha qiyamat jo nasley ho Ya Rabb,

ho sab aashiq-e-Mustafah meray Mowla
mujhay bhi dikhaday Thu jalwa Nabi ka

yahi hai meri iltijah meray Mowla
jinon ney kaha hai duaon ka mujh sey,

Thu kar dey sabhi ka bhala meray Mowla
rula Thu mujhay bas gham-e-Mustafa mey,

na duniya keh gham mey rula meray Mowla
na mohtaaj kar Thu jahan mey kisi ka,

mujhay muflisi sey bacha meray Mowla
hai Ka’bay pay nazray Obaiday Raza ki,

ho maqbool har ik dua meray Mowla


Related Content

  1. Apni Rehmat Ke Sumandar Mein Utar Jaane De Naat Lyrics
  2. Eidon Ki Hai Eid Aayi
  3. Karahe Hain Teri Sana Khani
  4. REHAM KARO YA SHAH-E-DO AALAM
  5. MEHBOOB DA MELA AE
  6. TERE HOTE JANAM LIYA HOTA
  7. Aye Madine ke Tajdar Tujhe
  8. Meri Tauba Meri Tauba  Naat Lyrics
  9. Chumma Rozy Di Jali Nu   Naat Lyrics
  10. Ae Noor-e-mujjassim
  11. Mustafa E Zaat E Yakta Aap Hain  Naat Lyrics
  12. Na Ho Aaraam Jis Bimaar Ko Saare Zamaane Se (Naat Lyrics)
  13. Main Aasi Hoon Magar Tu Hai Gaffar Ya Allah  Naat Lyrics
  14. Ae Bekason Ke Wali dede hamain sahara
  15. Koyi Kya Jane Jo Tum Ho Khuda Hi Jaane Kya Tum Ho  Naat Lyrics
  16. Madina Saaddi Jaan Ay (Naat Lyrics)
  17. Sunehri Jalion Ko Nazar Aane
  18. Aa Gayi Jag De Vich Bahaar
  19. Na Kahin Se Door Hein Manzilen  Naat Lyrics
  20. Nahi He Koi Duniya Main Hamara  Naat Lyrics

Leave a comment