Gham Hogaye Be Shumar Aaqa  Naat Lyrics

Ghum Ho Gaye Beshumar Aaqa

Banda Tere Nisaar Aaqa

Bigda Jaata Hai khel mera

Aaqa Aaqa Savaar Aaqa

Manjdhaar Pe Aake Naav Tuti

De Haath Ki Hu Main Paar Aaqa

Tuti Jati Hain Peeth meri

Lillah Ye Bojh Utaar Aaqa

Halka Hai Agar Hamara Palla

Bhari Hain Tera Waqar Aaqa

Majboor Hain Hum To Fikr Kya Hai

Tumko To Hain Ikhtiyar Aaqa

Main Duur Hu Tum To Ho Mere Paas

Sun Lo Meri Pukaar Aaqa

Mujhsa Koi Ghumzada Na Hoga

Tumsa Nahi Ghumgusar Aaqa

Girdaab Me Pad Gayi Hai Kashti

Duba Duba Utaar Aaqa

Tum Wo Ki Karam Ko Naaz Tumse

Main Wo Ke Badee Ko Aar Aaqa

Fir Muh Na Pade Kabhi Khiza Ka

De De Aisi Bahaar Aaqa

Jiski Marzi Khuda Na Taale

Mera Hai Wo Naamdar Aaqa

Hain Mulke Khuda Pe Jiska Qabza

Mera Hain Wo Kaamgar Aaqa

Soya Kiye Naabkaar Bande

Roya Kiye Zaar Zaar Aaqa

Kya Bhul Hai Unke Hote Kahlaye

Duniya Ke Ye Tajdaar Aaqa

Unke Adna Gada Pe Mit Jaye

Aise Aise Hazaar Aaqa

Be-abre Karam Ke Mere Dhabbe

La Tagsiluhal-bihar Aaqa

Itni Rehmat Raza Pe Kar Lo

La Yakrubuhul Bawaar Aaqa


Related Content

  1. Rehmat Baras Rehi Hai
  2. Madinah Deykhney Ki Aarazu Hai Meray Seenay Mein (Naat Lyrics)
  3. Madina Madina Hamara Madina Naat Lyrics
  4. Jashn Aamade Rasool
  5. Aamad E Mustafa Se Hai Phoola Phala Chaman Chaman
  6. Haajiyon Aao Shahenshah ka Roza Dekho Naat Lyrics
  7. REHAM KARO YA SHAH-E-DO AALAM
  8. Karam Ke Badal Baras Rahe Hain  Naat Lyrics
  9. Noorani Darbaar Madine Waale Ka
  10. Kaabay Ki Ronaq Kaabay Ka Manzar
  11. Rabbana Ya Rabbana  Naat Lyrics
  12. Aap shamme risalat hain parwaney hum
  13. Madine ka safar hai aur main namdeda namdeda
  14. Chamka Mahe Noor Ka Hilal   Naat Lyrics
  15. DIL KI MURAAD PAA?E GHE AAJ NAHEIN TO KAL SAHEE
  16. Nabi Ki Naat Me Padh Lun To Koi Baat Nahi
  17. Na Ho Aram Jis Bimar Ko Sare Zamane Se  Naat Lyrics
  18. Mujhe Do Bheekh Ulfat Ki Madine Main Chala Aaun
  19. Unka Mangta Hu Jo Mangta Nahi Hone Dete Naat Lyrics
  20. Al-madad, peeraan-e-peer ! Gaus-ul-aa’zam dast-geer !

Leave a comment