Aaj Muhammad Aye Moray Ghar Naat

Aaj Muhammad aye moray ghar
Salle ‘alaa ki dhoom hai ghar ghar

Ankhon mein maazagh ka surma
Sar par taaj Warafa’na ka
Husn-e-mujassam Allahu akbar

Subh-e-azzal hai Mukhra un ka
Shaam-e-awad hai Zulf ka saya
Unse hua har qalb munawwar

Mehndi lagaon ghar ko sajaon
Main angan mein naachon gaaon
Tann mann waaron Unke Charan par

Aao sakhio mill kar gayein
Apne Piya ka jashn manayein
Salle ‘alaa ki dhoom hai ghar ghar

Rim jhim barse noor ki barkha
Aaya hai mi’raj ka Dulha
Dharti aur aakaash se behtar

Dosh pe youn Gesu lehraye
Bheeni bheeni khusboo aye
Rang-o-nighat saara manzar

Amina Bi ka Raaj Dulara
Kitna anokha kitna pyaara
Chaand uttar aaya hai zameen par

Ban ke shab-e-miraaj mein Dulha
Pohnche jab aflaak pe Aaqa
Naghma tha har eik ki zuban par

Tall jaayegi saari musibat
Aa jaye ga dor-e-rahat
Ab to mujhe dekheinge nazar bhar

Anjum bekass Aap ka mangta
Dijiye bakshish jagg ke Data
Boond hoon main aur Aap samandar

Aaj Muhammad aye moray ghar
Salle ‘alaa ki dhoom hai ghar ghar


Related Content

  1. Nazar Ko Bax Do Aisa Asar GARIB NAWAZ  Naat Lyrics
  2. Aaya Ramzan ka Mahina Kafila chala soo-e-Madina lyrics
  3. AA GAYA WOH NOOR WALA JIS KA SARA NOOR HAI
  4. Faslon Ko Takalluf Hai Humse Agar  Naat Lyrics
  5. Dekhte Kya Ho Ahle Safa
  6. Bigare Huwe Bante Hain Kam Madine Me  Naat Lyrics
  7. Jab Gumbad-E-Khazra Pe Wo Pehli Nazar Gayi
  8. Mera Dil Or Meri Jaan Naat Lyrics
  9. Banda Milne Ko Kareeb Hazrat E Qadir Gaya Naat Lyrics
  10. Rab Mehfilan Sajayan
  11. Zamin- O- Zamin Tumhare Liye
  12. Noor ke motiyon ki larri ban gai
  13. ALIF ALLAH CHAMBAY DE BOOTI
  14. Azal Ki Khushboo Ho Jismein
  15. Qaseeda E Mearaj  Naat Lyrics
  16. YA TAIBA YA TAIBA
  17. Karam Ke Badal Baras Rahe Hain  Naat Lyrics
  18. Bigdi Bhi Banayenge  Naat Lyrics
  19. Ujaala Jis Ka Hai Do Jahaan Mein, Woh Mere Aaqa Ki Roshni Hai
  20. Ahlan Wa Sahlan Marhaba Lyrics

Leave a comment