Aaka Ko Pukar Bande Aaka Pukar

aaka ko pukar bande aaka pukar

inshaallah ho jaega tera bera paar

aaka ko pukar bande……………….

unke hath me cool kunji hai

rab ne unhe mukhtar kiya

hum ko unka mangta banaya

or unhe sarkar kiya

jo sarkar ke dar ka gada hai

wo khud hai mukhtar

aaka ko pukar bande………………..

kya kehana darbare nabi ka

uski shaan hi aali hai

har giz na mehrum wo lota

us dar ka jo sawali hai

aao chale ab suae madina

chhor ke sab dharbar

aaka ko pukar bande………………..

aala hazarat ne yaro ye

sabak hame sikhlaya hai

jo gustakhe khuda wa nabi hai

apna nahi wo paraya hai

ha aise gustakho par

maula ki hai fitkar

aaka ko pukar bande………………..

kyu gamgin hai tu ae ‘sayyid’

dar par wo bulwaenge

ranjo gam sab dur karege

soae bhug jagaenge

or bhi koy unke siwa hai

dukhiyo ka gam-khwar

aaka ko pukar bande………………..

apni to pahechan yahi hai

apni to hai shaan yahi

daman mai kuchh or nahi hai

dil mai hai armaan yahi

itni parhu me unki naate

razi ho sarkar

aaka ko pukar bande………………..

yade nabi me tu ae ‘razwi’

unki midahat karta ja

deewaro ka dil bhar aae

zom ke naate parhata ja

jald madine jaaega tu

lagate hai aasar

aaka ko pukar bande………………..


Related Content

  1. Banda Milne Ko Kareeb Hazrat E Qadir Gaya Naat Lyrics
  2. NABI KA JASHAN AAYA 
  3. Mojza Mere Nabi Ka Naat Lyrics
  4. Jab Gumbad-E-Khazra Pe Wo Pehli Nazar Gayi
  5. Allah Ne Pohanchaya Sarkar Ke Qadmon Main Naat Lyrics
  6. Chor Fikr Duniya Ki Chal Madine Chalte Hain    Naat Lyrics
  7. Madina Saaddi Jaan Ay (Naat Lyrics)
  8. Ya Rasool Allah Ya Habeeb Allah (Naat Lyrics)
  9. Tera Khaawan Main Tere Geet Gaawan, Ya Rasoolallah (Naat Lyrics)
  10. Kitna Ala Rutba Hai Mere Ghouse Azam Ka  Naat Lyrics
  11. Soona jungle raat andheri chaye hai
  12. MILTI HE MUHAMMAD KI KHAIRAAT MADINE ME
  13. Aap aye duniya vich door hoye gham
  14. Ahlan Wa Sahlan Marhaba Lyrics
  15. Aaqa Ke Ghulamo Ko Ab Eid Manane Do
  16. Tumhi Arsh Say Farsh Par Janay Walay (Naat Lyrics)
  17. Mere Aqa Aoo Ke Muddat Hoi Hai  Naat Lyrics
  18. MAIN MANGTA HAAN TERE ISHQ DA NAAT LYRICS
  19. Mujhe Apna Bana Lo Tum Khudara  Naat Lyrics
  20. Madine Ke Zaa-ir Salaam Unse Kehna  Naat Lyrics

Leave a comment