Jo Madina Hum Bhi Jaate (Naat Lyrics)

Jo Madina hum bhi jaate to kuch aur baat hoti
Wohi raah bhool jaate, to kuch aur baat hoti

Ye hawa ke mast jhoke jo iram se aarahe hai
Yehi Taybah hoke aate, to kuch aur baat hoti

Meri aankh jab bhi khulti teri rehmato se Aaka
Tujhe saamne jo paata, to kuch aur baat hoti

Muje zehr dene wale bare kam nazar hai Aaka
Tere naam par pilaate to, kuch aur baat hoti

Mein Madine ko gaya tha ye bara sharap hai lekin
Wohi dam jo toot jata to, kuch aur baat hoti

Ye sitaaron ka tabassum hai nazar nawaaz lekin
Mere Aaka muskuraate, to kuch aur baat hoti

Duniya ke gham mein yeh jo mere aansoo behrahe hai
Tera gham agar rulaata, to kuch aur baat hoti

Ye jo Naat-e Paak Bekal mehfil mein par rahe hai
Yehi Taybah mein sunaate, to kuch aur baat hoti


Related Content

  1. Aa Jaaye Bulawa Mujhe Aqa Tere Dar Se
  2. Noor E Ahmed Ki Ziyaa Hai Maslak E Ahmed Raza  Naat Lyrics
  3. Dil Ko Unse Khuda Juda Na Kare
  4. Main Nazar Karun Jaan O Jiigar  Naat Lyrics
  5. Mujhe Tohfay Mein Mila Ramzan Lyrics
  6. Tere Qadmo Me Aana Mera Kaam Tha
  7. Sarkaare Ghaus E Azam, Nazre Karam Khudaara  Naat Lyrics
  8. Unka Mangta Hu Jo Mangta Nahi Hone Dete Naat Lyrics
  9. Sunni Musalman Mai Sunni Musalman  Naat Lyrics
  10. Chamka Mahe Noor Ka Hilal   Naat Lyrics
  11. Rabbana Ya Rabbana  Naat Lyrics
  12. Na Chedo Zirk E Jannat  Naat Lyrics
  13. Mangate Hain Karam Unka Sada  Naat Lyrics
  14. Koi Kaise Samajh Paayega Rutba Sabz Gumbad Ka  Naat Lyrics
  15. Sultane Jahan Mehboobe Khuda Teri Shaano Shaukat Kya Kehna  Naat Lyrics
  16. Izn Kar do Ataa Dar Pe Aaon Shaha Naat Lyrics
  17. Bheek ‘Ata Ae Nabi Muhatasham Ho
  18. Chumma Rozy Di Jali Nu   Naat Lyrics
  19. Ilahi Madad Kar Madad Ki Ghari Hai  Naat Lyrics
  20. Ilahi Madad Kar Madad Ki Ghari   Naat Lyrics

Leave a comment