CHAL QALAM AB HAMD E RABB

MAQSOOD HAI NAAT LYRICS

Chal Qalam Ab Hamd E Rabb Maqsood Hai
Tera Mera Sab Ka Jo Ma’bood Hai

Hai Wahi Shahid Wahi Mash-hud Hai
Noor Uska Har Jagah Maujood hai

Usne Hi Humko Bakshe Hay Humko Mustafa
Ye Na Ho To Zindagi Be Sud Hai

Yu To Hai Quraa(n) Hidayat Ki Kitaab
Par Kisi Ka Tazkera Maksood Hai

Wad-duha Wash-shams Jiski Shaan Hai
Haan Wahi Ahmed Wahi Mehmood Hai

Unn Ka Charcha Har Jabaa(n) Par Hai Rawaa(n)
Unki Khushbu Har Jagah Maujood Hai

Azmat E Ahmad Me Jisko Hai Shuba
Haan Wahi Shaitaa(n) Wahi Mardood Hai

Aur Jo Karta Hai Unn Par Jaa(n) Fida
Wo Mubarak Hai Wahi Mas-ud Hai

Noor Ki Barsaat Hoti Hai Waha
Jis Jagah Par Mehfil E Maulood Hai

Padhte Rahiye Nazmi Naat E Mustafa
Haan Isi Me Rooh Ki Beh-bud Hai


Related Content

  1. Sunte Ho Bekaso Fariyad Ki Gause Aazam  Naat Lyrics
  2. Faraz E Arsh Ne Chuma Hussain Ka Sajda  Naat Lyrics
  3. Kab Talak Muntazir Hum Rahein Ya Nabi
  4. Meray Aqa Meray Lajpaal Madinay Waley (Naat Lyrics)
  5. Eidon Ki Hai Eid Aayi
  6. Madinah Deykhney Ki Aarazu Hai Meray Seenay Mein (Naat Lyrics)
  7. Mujhe Tohfay Mein Mila Ramzan Lyrics
  8. Koi Kaise Samajh Paayega Rutba Sabz Gumbad Ka  Naat Lyrics
  9. Allah Nabi Da Naam Layye Allah Nabi Da
  10. Subha Taibah Me Hui Bat’ta Hain Baada Noor Ka  Naat Lyrics
  11. Paigham Saba Layee Hai Yeh Gulzar E Nabi  Naat Lyrics
  12. Aye Madine ke Tajdar Tujhe
  13. Apni Rehmat Ke Sumandar Mein Utar Jaane De Naat Lyrics
  14. Pesh E Haq Muzhda Shafa-at Ka Sunate Jaenge Lyrics
  15. LAZZATE ISHQE NABI DIL ME CHUPAE RAKNA
  16. DIL KI MURAAD PAA?E GHE AAJ NAHEIN TO KAL SAHEE
  17. Ham Faqeeron Ko Madeene
  18. Sar Bulandi Ki Rawayat Sir Katanay Say Chali  Naat Lyrics
  19. Aa Gaye Sarkar Naat Lyrics
  20. Main Muddat Se Is Aas Par Ji Rahi Hoon  Naat Lyrics

Leave a comment