Chalo Diyaar-E-Nabi Ki Jaanib   Naat Lyrics

Chalo Diyaar-E-Nabi Ki Jaanib Durood Lab Par Saja Saja Kar
Bahaar Luuttain Ge Ham Karam Ki Dilon Ko Daman Bana Bana KarNa Un Ke Jesa Sakhi Hei Koii Na Un Ke Jesa Ghani Hei Koii
Wo Be-Nawa-O Ka Har Jaga Se Nawaazte Hein Bula Bula Kar

Mein Wo Nikamma Hun Jisski Jholi Main Koii Husn-E-Amal Nahiin Hei
Magar Wo Ihsaan Kar Rahe Hein Khata-Ain Meri Chhupa Chhupa Kar

Hei Unki Ummat Se Pyaar Kitna Karam Hei Rahmat Sha’aar Kitna
Hamaare Jurmon Ko Dho Rahe Hein Wo Apne Aansu Baha Baha Kar

Yahi Asaas-E-Amal Hei Meri Issi Se Bigrri Bani Hei Meri
Samett-Ta Hun Karam Khuda Ka Nabi Ki Naatain Suna Suna Kar

Wo Raahain Ab Tak Saji Huii Hein Dilon Ka Kaaba Bani Huii Hein
Jahaan Jahaan Se Huzur Guzre Hein Naqsh Apna Jama Jama Kar

Agar Muqaddar Ne Yaawri Ki Agar Madine Gya Mein Khaalid
Qadam Qadam Khaak Uss Gali Ki Mein Chuum Lun Ga Uttha Uttha Kar


Related Content

  1. Islam Zindabad, Islam Zindabad
  2. Parho Durood Kay Molood Ki Ghari Aayi  Naat Lyrics
  3. Yeh Sab Tumahara Karam Hai Aqa
  4. Aaj Milad e Nabi Hai
  5. Kaun Kehta Hai Aankhei(n) Chura Kar Chale  Naat Lyrics
  6. Arsh Ka Dulha Aaya Hai
  7. Jahan Roza E Pak Khreulwara Hai
  8. Main To Khud Unke Dar Ka Gada Hoon Naat Lyrics
  9. Ya Rabb Tere Mahboob Ka Jalwa Nazar Aaye (Naat Lyrics)
  10. Ay HabeeB E Ahmed E Mujtaba Dil E Mubtala Ka Salam Lo
  11. Faslon Ko Takalluf Hai Hum Se Agar
  12. Mubarak Tujhay Ho Arz-e-Madina
  13. Aakhri Lamhon Mein Kya Shehr O Biyabaan Dekhun
  14. Ae Shaaf’e Umam Sha’e Zee Jaah Le Khabar
  15. Aaj Muhammad Aye Moray Ghar
  16. Koi Saleeqa Hai Aarzoo Ka Na Bandagi Meri Bandagi Hai  Naat Lyrics
  17. Jhoole Jhoole Pyare Mohammad  Naat Lyrics
  18. Mojza Mere Nabi Ka Naat Lyrics
  19. Allaha Ha Ghar Kulde Ka Naqsha Nahie Dekha (Naat Lyrics)
  20. Arshe Haq Hai Masnade Rifat Rasoolullah Ki – Naat Lyrics

Leave a comment