Aaj Muhammad Aye Moray Ghar

Aaj Muhammad aye moray ghar
Salle ‘alaa ki dhoom hai ghar ghar

Ankhon mein maazagh ka surma
Sar par taaj Warafa’na ka
Husn-e-mujassam Allahu akbar

Subh-e-azzal hai Mukhra un ka
Shaam-e-awad hai Zulf ka saya
Unse hua har qalb munawwar

Mehndi lagaon ghar ko sajaon
Main angan mein naachon gaaon
Tann mann waaron Unke Charan par

Aao sakhio mill kar gayein
Apne Piya ka jashn manayein
Salle ‘alaa ki dhoom hai ghar ghar

Rim jhim barse noor ki barkha
Aaya hai mi’raj ka Dulha
Dharti aur aakaash se behtar

Dosh pe youn Gesu lehraye
Bheeni bheeni khusboo aye
Rang-o-nighat saara manzar

Amina Bi ka Raaj Dulara
Kitna anokha kitna pyaara
Chaand uttar aaya hai zameen par

Ban ke shab-e-miraaj mein Dulha
Pohnche jab aflaak pe Aaqa
Naghma tha har eik ki zuban par

Tall jaayegi saari musibat
Aa jaye ga dor-e-rahat
Ab to mujhe dekheinge nazar bhar

Anjum bekass Aap ka mangta
Dijiye bakshish jagg ke Data
Boond hoon main aur Aap samandar

Aaj Muhammad aye moray ghar
Salle ‘alaa ki dhoom hai ghar ghar


Related Content

  1. Dil Dard Se Bismil Ki Tarha Laut Raha Ho  Naat Lyrics
  2. Mere Sarkar Sunte Hai  Naat Lyrics
  3. Noor Wala Aya Hai Naat Lyrics
  4. Jahan Roza E Pak Khreulwara Hai
  5. Faslon Ko Takalluf Hai Hum Se Agar
  6. Yah Kis Shahnsha Ki Aamad Aamad Hai (Naat Lyrics)
  7. Lutf Unka Aam Ho Hi Jayega  Naat Lyrics
  8. Sacchi Baat Sikhate Yeh Hai  Naat Lyrics
  9. Jab Masjid e Nabawi Ke Minaar Nazar Aye
  10. Zahe Muqaddar Huzoor-E-HaqSe
  11. Al Madad Al Madad Al Madad Ya Khuda  Naat Lyrics
  12. Mustafa E Zaat E Yakta Aap Hain  Naat Lyrics
  13. Karam Karam Mola
  14. Takdir Muje Lai Sarkar Ke Roze Par  Naat Lyrics
  15. Choote Na Kabhi Tera Daman ya khwaja moinuddin hassan
  16. Sab Ke Bas Ki Baat Nahi  Naat Lyrics
  17. Karam Hai Rab Ka Hamara Naseeb Aala Hai
  18. TERE HOTE JANAM LIYA HOTA
  19. Ashkon ka meri aankh mein toofan utha ho
  20. Karam Karte Hi Rehate Ho  Naat Lyrics

Leave a comment