BATIL KE JAB JAB BADLE HAI TEVAR NAAT LYRICS

Batil Ke Jab Jab Badle Hai Tevar
Aaya Hai Tab Tab Meri Zaban Par
Naara E Takbeer Allaho Akbar

Pyaare Nabi Ne Jina Sikhaya
Bakhuda Insan Hum Ko Banaya
Pehnaya Aklaq O Iman Ka Zevar
Naara E Takbeer Allaho Akbar

Khud Bhi Jiyo Jinedo Sabhiko
Iza Na Pahuchao Khud Se Kisiko
Islam Ka Yahi Darse Munauwar
Naara E Takbeer Allaho Akbar

Siddiq O Faruq O Usman O Haidar
Ashabo Azvajo Shabbir O Shabbar
In Sab Ka Ehsan Hum Sab Ke Upar
Naara E Takbeer Allaho Akbar

Baghdadi Mehkhana Chalta Rahega
Ajmeri Pyaala Chalakta Rahega
Noori Miyan Denge Barkati Sagar
Naara E Takbeer Allaho Akbar

Mizan Par Aaqa Hum Ko Bachaiyo
Daman Me Apne Hum Ko Chupaiyo
Itna Karam Ya Shafa E Mehshar
Naara E Takbeer Allaho Akbar

Rahe Khuda Me Ghar Ko Lutaye
Deen E Nabi Pe Sar Ko Kataye
Uqba Ki Daulat Lute Bhar Bhar
Naara E Takbeer Allaho Akbar

Sacche Sada Aqval Hamare
Side Sada Aamal Hamare
Tab Hoga Rab Meherban Hum Par
Naara E Takbeer Allaho Akbar


Related Content

  1. Naat Sarkar Ki Parta Hoon Mein
  2. Soona jungle raat andheri chaye hai
  3. Sabke Hajat Rawa Garib Nawaj  Naat Lyrics
  4. Sarkaare Ghaus E Azam, Nazre Karam Khudaara  Naat Lyrics
  5. Rukh Se Parda Ab Apne Hata Do  Naat Lyrics
  6. Mein So Jaoo Ya Mustafa Kehte Kehte  Naat Lyrics
  7. Aisa Bhi Ho Ya Syed-e-Abrar Kissi Din
  8. Hum Apni Hasrat E Dil Ko Mitane Aaye Hai  Naat Lyrics
  9. Khuda Ka Khas Ek Ehsaan Hai Ye Aulia Allah  Naat Lyrics
  10. Chumma Rozy Di Jali Nu   Naat Lyrics
  11. Kya Hi Zauk Afza Shafaat Hain Tumhari Wah Wah  Naat Lyrics
  12. Fat’he Baabe Nubuwwat Pe Bayhad Durood
  13. Baarwein Ka Chaand Aaya Lyrics
  14. Sidra Se Bhi Aage Kaun Gaya Jibril E Amin Se Poocho  Naat Lyrics
  15. Maqsad E Aalam E Hayaat E Nabi
  16. Aye Hasnain Ke Nana
  17. Aadha Idhar Aadha Udhar
  18. AA GAYE MUZDA SHAFAAT KA SUNANE WALE
  19. Rehmat Baras Rehi Hai
  20. Qasidah Burdah Sharif- Qasidah Burdah Sharif Lyrics

Leave a comment