Kaabay Peh Pari Jab Pehli Nazar

Kaabay Peh Pari Jab Pehli Nazar
Kiya Cheez Hai Duniya Bhool Gaya
Yoon Hosh-O-Khirad Maflooj Huay
Dil Zauq-E-Tamaasha Bhool Gaya

Phir Rooh Ko Izn-E-Raqs Mila
Khwabeedah Junoon Bedaar Huaa
Talwon Ka Taqaza Yaad Raha
Nazron Ka Taqaza Bhool Gaya

Ehsaas Ke Parday Lehraaye
Imaan Ki Haraarat Tez Huee
Sajdon Ki Tadap Allah Allah
Sar Apna Sauda Bhool Gaya

Jiss Waqt Dua Ko Haath Uthay
Yaad Aa Na Saka Jo Socha Tha
Izhaar-E-Aqeedat Ki Dhun Mein
Izhaar-E-Tamanna Bhool Gaya

Pohncha Jo Haram Ki Chaukhat Per
Ik Abr-E-Karam Nay Ghair Liya
Baqi Na Raha Yeh Hosh Mujhay
Kiya Maang Liya, Kiya Bhool Gaya

Her Waqt Barasti Hai Rehmat
Kaabay Mein Jamil, Allah Allah
Khaati Hoon Mein Kitna Bhool Gaya


Related Content

  1. Kushiyo Ki Bahaare Laaya Ramzan Mubarak Aaya  Naat Lyrics
  2. Madina Sadi Jaan Hai Lyrics
  3. Abr e Karam Gesoo E Muhammad
  4. Lutf Unka Aam Ho Hi Jayega  Naat Lyrics
  5. Aadha Idhar Aadha Udhar
  6. Sacchi Baat Sikhate Yeh Hai  Naat Lyrics
  7. Mere Aqa Aoo Ke Muddat Hoi Hai  Naat Lyrics
  8. Ay Mustafa ke fool dilojaan ya hussain
  9. Bas Apne Dil Maen Madine ki
  10. Muhmmad Ruhi Fidaka Naat Lyrics
  11. Madina Saaddi Jaan Ay (Naat Lyrics)
  12. Aadha Idhar Aadha Udhar
  13. Aamad E Mustafa Se Hai Phoola Phala Chaman Chaman
  14. Eh Sarware Duniya O Deen  Naat Lyrics
  15. Jo Bhi Dushman Hai Mere Raza Ka  Naat Lyrics
  16. Karam Hai Rab Ka Hamara Naseeb Aala Hai
  17. Nabi Nabi Nabi Nabi  Naat Lyrics
  18. Sirf Ek Baar  Naat Lyrics
  19. Naatein Sarkar Ki Parta Hoon Mein
  20. Al Nabi Sallu Alai

Leave a comment