Aaya Ramzan ka Mahina Kafila chala soo-e-Madina lyrics

Aaya Ramzaan ka mahina Khafila chala soo-e-Madina
Mujhe bhi do izn-e-Madina aane ki Sarkare Madina


Mujhe na aaya bulawa kitni hai dil me tamanna
kash Aqa mai bhi dekh leta bahar-e-Ramzaan-e-Madina


Meri qismat ko bhi Khudara Tum sajana
Hasnain ke sadqe me dikhana baar baar Madina


Kahaan jaun kahaan daman pasaroon mai Malik-e-Madina
Aas lagai hamne Tumhare Dar se ae Shahinsha-e-Madina


kaheen aisa na ho seene me dafn karke gham-e-Madina
Mai duniya se chala jaon bin deed ke Madina


Ghamaun ke sailab me dooba jaraha hoon Sultan-e-Madina
LILLAH IMDAD ko aao meri Sarwar-e-Madina


Iss saal zaroor mujh aasi ko Sarkar bulana
Rauda-e-Anwar aur Gumbade Khizra dikhana


Chamka kar meri aankhaun ko jalwa dikha dena
Dekh loon aankh bharke Tum ko Shahe Madina


Duniya ki mohabbat dil se nikal jae Aqa-e-Madina
Rahe chashm-e-nam dil me bas gham-e-Madina


Maana ke nahi qabil hoon jo dekhoon Tumhara Madina
Phir laoon kahaan se wo aamal mai Sarkar-e-Madina


Nahi jaber ke paas koi zar jo dekhe Pyara Madina
Itna to ho Karam khabaun me ise dikhado Madina


Nahi mal o zar to kya hain main gareeb hoon yehi na
mere ishq mujhko le chal tu janibe madina madina.

Aaya Ramzan ka mahina Kafila chala soo-e-Madina lyrics


Related Content

  1. MANGHTE HE KARAM UNKA SADAA MANGHRAHE HE
  2. Mein So Jaoo Ya Mustafa Kehte Kehte  Naat Lyrics
  3. Khuda Ka Khas Ek Ehsaan Hai Ye Aulia Allah  Naat Lyrics
  4. Soo Ae Jannat Kohn Jaae Dar Tumhara Chor Kar
  5. Na Ho Aram Jis Bimar Ko Sare Zamane Se  Naat Lyrics
  6. Dil Ko Unse Khuda Juda Na Kare
  7. Kaabe Ke Badrud Duja Tum Pe Karoron Durood  Naat Lyrics
  8. Fida Kr Ishq-e-Nabi Par Jaan  Naat Lyrics
  9. Koi Aaye Koi Jaaye  Naat Lyrics
  10. Meh Madine Chala (Naat Lyrics)
  11. MAIN MANGTA HAAN TERE ISHQ DA NAAT LYRICS
  12. Aa Dil Main Tujhe Rakh Loun
  13. Bhejo Darood Us Zaat Per,mikar sada kaho
  14. Zindagi Hay Nabi Ki Nabi Ke Liye Naat Lyrics
  15. Noor E Ahmed Ki Ziyaa Hai Maslak E Ahmed Raza  Naat Lyrics
  16. Aankhen purnoor karu dekh ke chehra unka
  17. Mujhe Rang De Maula
  18. ALLAH Ho Rabo Muhammadin
  19. YA RAB MERI SOI HUYI TAQDEER
  20. Baat Kar Madine Ki Naat Lyrics

Leave a comment