Mujhe Do Bheekh Ulfat Ki Madine Main Chala Aaun
Mere Aaqa Mera Armaan Yahi Ab Tak Adhura Hai
Teri Rehmat Ka Qatra Paane Wale Tajdaron Ki
Teri Azmat Ka Jalwa Dekhne Wale Hazaron Ki
Teri Midhat Bayan Karte Karodon Sukhanwaron Ki
Kalam Chalti Rahi Lekin Kalaam Ab Tak Adhura Hai
Tere Roza E Aqdas Ki Tamanna Rakhne Walon Ki
Tere Rozey Ki Jaali Chum Aayein Un Khayalon Ki
Sabhi Sattar Hazaron Ki Sabhi Umeed Walon Ki
Dua Chalti Rahi Lekin Dawam Ab Tak Adhura Hai
Mere Allah Tere Bande Ki Khwahish Chhut Na Paye
Tere Mehboob Ki Nagri Ki Hasrat Ruthh Na Paye
Faqat Tab Tak Meri Saanson Ki Ladiyan Toot Na Paye
Duago Hasratein Meri Muqam Ab Tak Adhura Hai
Sabhi Kaamon Se Afzal Hai Ghulami Tere Dar Ki Khoob
Kahe Fir Kyun Mujhe Koi Adhura Hai Tera Mansoob
Ghulami Tere Dar Ki Kaash Mil Jaye Mujhe ‘Mehboob’
Na Keh Paye Koi Tera Ghulam Ab Tak Adhura Hai
Mujhe Do Bheekh Ulfat Ki Madine Main Chala Aaun
Mere Aaqa Mera Armaan Yahi Ab Tak Adhura Hai
Mujhe Do Bheekh Ulfat Ki Madine Main Chala Aaun
Related Content
- Chumma Rozy Di Jali Nu Naat Lyrics
- Fat’he Baabe Nubuwwat Pe Bayhad Durood
- Nabi Ke Ishq Ne, Jis Ko Hasin Banaaya Hai
- Apne Dar Pe Jo Bulaa-o To Bahot Ach’cha Ho
- YA RAB MERI SOI HUYI TAQDEER
- Aaqa Ka Milad Aaya
- Wah Kya Joodo Karam Tazmeen
- Aakhri Lamhon Mein Kya Shehr O Biyabaan Dekhun
- Sare Jahan Se Achha Hai Sange Dar Tumhara Naat Lyrics
- Aya Na Hoga Is Tarha, Husn O Shabab Ret Par
- Kya Jane Duniya Wale Rutba Mere Madani Ka Naat Lyrics
- Mein Nazar Karoon Jaan O Jigar Naat Lyrics
- Aankhein Ro Ro Ke Sujane Wale Naat Lyrics
- OWAISION MEIN BAITH JA BILALIYON MEIN BAITH JA
- Dekar Khuda Ko Jaan Ki Kimat Naat Lyrics
- Izn Kar do Ataa Dar Pe Aaon Shaha Naat Lyrics
- Kya Khabar Kya Saza Mujh Ko Milti Naat Lyrics
- Meetha Meetha He Mere Muhammad Ka Naam Naat Lyrics
- Mera Dil Aur Meri Jaan Madine Waale (Naat Lyrics)
- Subha Taibah Me Hui Bat’ta Hain Baada Noor Ka Naat Lyrics