Rashke Qamar Hu Range Rukhe Aftaab Hu  Naat Lyrics

Rashke Qamar Hun Range Rukhe Aftab Hun

Zarra Tera Jo Aye Shahe Gardoon Janab Hun

Durre Najaf Hoon Gauhare Pake KHunshab Hun

Ya’ni Turabe Reh Guzare Bu Turab Hun

Gar Ankh Hoon To Abr Ki Chashme Purab Hun

Dil Hoon To Barq Ka Dile Pur Iztirab Hun

Khooneen Jigar Hoon Taire Be Asiyan Shaha

Range Paridaye Rukhe Gul Ka Jawab Hun

Be Aslo Be Sabat Hoon Behre Karam Madad

Parwardaye Kanare Sarabo Habab Hun

Ibrat Faza Hai Sharme Gunah Se Mera Sukoot

Goya Labe Khamoshe Lahad Ka Jawab Hun

Kyun Nala Soz Le Karoon Kyun Khoone Dil Piyu

Seekhe Kabab Hoon Na Main Jame Sharab Hun

Dil Basta Be Karar, Jigar Chak, Ashkbar

Guncha Hoon Gul Hoon Barqe Tapan Hoon Sahab Hun

Da’wa Hai Sab Se Teri Shafa’at Pe Beshtar

Daftar Me Asiyon Ke Shaha Intikhab Hun

Maula Duhayi Nazron Se Gir Kar Jala GHunlam

Ashke Muzah Rasidaye Chashme Kabab Hun

Mit Jaye Ye KHundi To Woh Jalwa Kahan Nahin

Darda Me Ap Apni Nazar Ka Hijab Hun

Sadqe Hoon Us Pe Nar Se Dega Jo Makhlasee

Bulbul Nahin Ki Atashe Gul Par Kabab Hun

Qalib Tahee Kiye Hama Agosh Hai Hilal

Aye Shah Saware Taiba! Main Teri Rikab Hun

Kya Kya Hain Tujh Se Naz Tere Kasr Ko Ke Main

Ka’be Ki Jan, Arshe Bari Ka Jawab Hun

Shaha Bujhe Sakar Mere Ashkon Se Ta Na Main

Abe Abas Chakidaye Chashme Kabab Hun

Main To Kahan Hi ChaHun Ke Banda Hoon Shah Ka

Par Lutf Jab Hai Keh Den Agar Woh Janab ‘Hun’

Hasrat Me Khak Bosiye Taiba Ki Aye Raza

Tapka Jo Chashme Mehar Se Woh Khoone Nab Hun


Related Content

  1. Meetha Meetha He Mere Muhammad Ka Naam  Naat Lyrics
  2. Koi Nabi Nahi Hai Mere Mustafa Ke Baad  Naat Lyrics
  3. Khairul Bashar Par Lakho Salam  Naat Lyrics
  4. Ali Haidar ka gharana
  5. Sarkar Bulae Kadmo Mai  Naat Lyrics
  6. Meh Madine Chala (Naat Lyrics)
  7. Sab Ke Bas Ki Baat Nahi  Naat Lyrics
  8. Fauze Ghum Ki Baraa Bar Chadhayi Hai  Naat Lyrics
  9. Aagae Mustafa Ki Sawaari
  10. Sahara Chahiye Sarkar Zindagi Ke Liye  Naat Lyrics
  11. Fida Kr Ishq-e-Nabi Par Jaan  Naat Lyrics
  12. Mera Dil Tadap Raha Hai  Naat Lyrics
  13. JASHNE AHMEDE RASOOL ALLAH HI ALLAH
  14. Apni Lagan Laga De
  15. ShaheMadina Naat Lyrics
  16. Ae Shaaf’e Umam Sha’e Zee Jaah Le Khabar
  17. Kaabay Peh Pari Jab Pehli Nazar
  18. ALIF ALLAH CHAMBAY DE BOOTI
  19. Sare Jahan Se Achha Hai Sange Dar Tumhara  Naat Lyrics
  20. Mera Dil Madina Bana De Ya Rasoolallah  Naat Lyrics

Leave a comment