ShaheMadina Naat Lyrics

Shahe Madina, shahe madina, shahe madina
Taiba ke wali sare nabi tere dar ke sawali
Shahe Madina, shahe madina, shahe madina

Terey liye hi dunya bani hai, neele falak ki chadr tani hai
Tu agar na hota dunya thi khali, sare nabi tere dar ke sawali

Jalwe hai sare terey hi dam se, aabad aalam terey karam se
Baqi har ek shay naqshe khayalo, sare nabi tere dar ke sawali

Tune jahan ki mehfil sajai, taarikyon mein shamma jalai
Kandhe pe tere kamli hai kaali, sare nabi tere dar ke sawali

Mazhab hai tera sab ki bhalai, maslak hai tera mushkil kushai
dekh ke apni umat ki khasta haali, sare nabi tere dar ke sawali

Hai noor tera shamso qamar mein, tere laboon ki laali sahar mein
Phoolon ne teri khusbu chura li, sare nabi tere dar ke sawali

Kaba ka kaba tera hi ghar hai, tere karam pe sab ki nazar hai
Dikhlade hum ko darbare aali, sare nabi tere dar ke sawali

Hain ap dukhyon ke aaqa sahare, Taje shafa at hai sar pe tumhare
Ham ko aata ho roze ki jaali, sare nabi tere dar ke sawali

Taiba ke wali sare nabi tere dar ke sawali
Shahe Madina, shahe madina, shahe madina


Related Content

  1. Maqbool Dua Karna Manzoor Sana Karna  Naat Lyrics
  2. Haajiyon Aao Shahenshah ka Roza Dekho Naat Lyrics
  3. Ilahi Madad Kar Madad Ki Ghari   Naat Lyrics
  4. Sirf Ek Baar  Naat Lyrics
  5. Aao ke kare baate sarkar e do aalam ki
  6. Karam Ke Badal Baras Rahe Hain  Naat Lyrics
  7. Allah Ke Huzoor Me Sar Ko Jhukaa Ke Dekh
  8. Tala Al Badru Alyna
  9. Darpesh Ho Taiba Ka Safar Kaisa Lage Ga Naat Lyrics
  10. Allaha Ha Ghar Kulde Ka Naqsha Nahie Dekha (Naat Lyrics)
  11. Jahan Roza E Pak E Khairul Wara Hai  Naat Lyrics
  12. Madine ka safar hai aur main namdeda namdeda
  13. Wah Kya Joodo Karam Tazmeen
  14. Kya Mehakte Hain Mahekne Wale
  15. Bigri Banaa-o Makki Madani (Naat Lyrics)
  16. parho woh matlaye noori sanaye mahre Anwar ka Lyrics
  17. AAJ ASHK MERI NAAT SONAA?E TO AJAB KYA
  18. TAN SADQE MERA MANN SADQE
  19. Kushiyo Ki Bahaare Laaya Ramzan Mubarak Aaya  Naat Lyrics
  20. Apni Rehmat Ke Sumandar Mein Utar Jaane De Naat Lyrics

1 thought on “ShaheMadina Naat Lyrics”

Leave a comment