Raah Pur Khaar Hai Kya Hona Hai  Naat Lyrics

Raah Pur Khar Hai Kya Hona Hai Naat Lyrics

Paa(N)V Afgaar He  Kiya Hona He

Khushk He  Khoon Ki Dushman Zalim

Sakht Khunkhaar He  Kiya Hona He

Humko Bid Kar Wahi Karna Jis Se

Dost Bezaar He  Kiya Hona He

Tan Ki Aab Kaun Khabar Le He-He

Dil Ka Aazaar He  Kiya Hona He

Meethe Sharbat De Maseeha Jab Bhi

Zid He  Inkaar He  Kiya Hona He

Dil Ki Teemar Hamara Karta

Aap Bimaar He  Kiya Hona He

Par Kate, Tang Kafas Aur Bulbul

Nou-Giraftaar He  Kiya Hona He

Chup Ke Logo(N) Se Kiye Jiske Gunah

Woh Khabardaar He  Kiya Hona He

Are O Mujhrim E Be-Parwah Dekh

Sar Pe Talwaar He  Kiya Hona He

Tere Bimaar Ko Mere Isaa

Gash Lagatar He  Kiya Hona He

Nafse Puzor Ka Wo Zor Aur Dil

Zer He  Zaar He  Kiya Hona He

Kaam Zinda Ke Kiye Aur Hame

Shouke Gulzaar He  Kiya Hona He

Haye Re Neend Musafir Teri

Kooch Taiyar He  Kiya Hona He

Duur Jaana He  Raha Din Thoda

Rah Dushwaar He  Kiya Hona He

Ghar Bhi Jaana He  Musafir Ki Nahi

Mat Pe Kiya Maar He  Kiya Hona He

Jaan Halkaan Hui Jaati He

Baar Sa Baar He  Kiya Hona He

Paar Jaana He  Nahi Milti Naav

Zor Par Dhaar He  Kiya Hona He

Raah To Taigh Par Aur Talwo(N) Ko

Gila-E Khaar He  Kiya Hona He

Roushni Ki Hame Aadat Aur Ghar

Teera-Wo Taar He  Kiya Hona He

Beech Me Aag Ka Dariya Ha-Il

Qasd Us Paar He  Kiya Hona He

Iss Kadee Dhoop Ko Kyu Kar Jhele

Shola Jan Naar He  Kiya Hona He

Haye Bigdi Tu Kaha Aakar Naav

Ayn E Manj-Dhaar He  Kiya Hona He

Kal To Deedar Ka Din Aur Yaha

Aankh Bekaar He  Kiya Hona He

Muh Dikhane Ka Nahi Aur Sahar

Aam Darbaar He  Kiya Hona He

Unko Raham Aaye To Aaye Warna

Woh Kadi Maray Kiya Hona He

Le Wo Haakim Ke Sipahi Aaye

Subhe Izhaar He  Kiya Hona He

Wa(N) Nahi Baat Banane Ki Majaal

Chaara Iqraar He  Kiya Hona He

Saath Walo Ne Yahi Chor Diya

Bekasi Yaar He  Kiya Hona He

Aakhri Deed He  Aao Mil Le

Rang Bekaar He  Kiya Hona He

Dil Hame Tumse Lagana Hi Na Tha

Ab Safar Baar He  Kiya Hona He

Jaane Walo Pe Ye Rona Kaisa?

Banda Nachaar He  Kiya Hona He

Naz’a Me Dhyan Na Batt Jaye Kahi

Ye Abas Pyar He  Kiya Hona He

Iska Ghum He  Ki Har Ek Ki Soorat

Gale Ka Haar He  Kiya Hona He

Baatein Kuch Aur Bhi Tumse Karte

Par Kaha Vaar He  Kiya Hona He

Kyu Raza Kudhte Ho Haste Uththo

Jab Wo Ghaffar He  Kiya Hona He


Related Content

  1. Jalwa Hai Noor Hai Ke Sarapa Raza Ka Hai  Naat Lyrics
  2. Ho Karam Sarkar Ab Tou Ho Gaye Ghum Beshumaar  Naat Lyrics
  3. Tum Par Main Lakh Jaan se Fida Ya Rasool
  4. Mujhe Rang De Maula
  5. Sarkar Bulae Kadmo Mai  Naat Lyrics
  6. Aey Saba Mustafa Se Keh Dena
  7. Delhi Rajasthan Tumhara Ya Khwaja  Naat Lyrics
  8. Dil Dard Se Bismil Ki Tarha Laut Raha Ho  Naat Lyrics
  9. Lab Pe Naat Paak Ka Naghma Kal Bhi Ta
  10. MAIN MANGTA HAAN TERE ISHQ DA NAAT LYRICS
  11. Har Nazar Kamp Uthegi Mehshar Ke Din   Naat Lyrics
  12. Noor ke motiyon ki larri ban gai
  13. Fauze Ghum Ki Baraa Bar Chadhayi Hai  Naat Lyrics
  14. Jashn-e-wiladat Zindabad  Naat Lyrics
  15. Tera Khaawan Main Tere Geet Gaawan, Ya Rasoolallah (Naat Lyrics)
  16. Soo Ae Jannat Kohn Jaae Dar Tumhara Chor Kar
  17. Dil Ki Duniya Ko Sajao Aaqa  Naat Lyrics
  18. Patta Patta Boota Boota Zikr E Khuda Mein Khoya  Naat Lyrics
  19. Madine Ke Waali Do Alam Ke Data Naat Lyrics
  20. Karam Karam Mola

Leave a comment