Noor ke motiyon ki larri ban gai

Dil Main Ishqe Nabi ki ho Aesi Lagan Naat Lyrics

Rooh tarapti rahe dil machalta rahe

Zindagi ka maza he ke har sans se

Yaa Mohammad Mohammad nikalta rahe

Yaa Mohammad Mohammad mein kahta raha

Noor ke motiyon ki larri ban gai

Aeaton se milaata raha eatain

Pir jo deka to naate nabi ban gai

Jo bi ansoo bahee mere mehboob ke

Sab ke sab abr rahmat ke chhinte banain

Chah gai rat jab zulf lehra gai

Jab tabassum kiya chandni ban gai

Yeh to mana ke jannat he baaghe hasin

Khubsurat he sab khuld ki sar zamin

Husn e jannat ko pir jab sameta gaya

Sarwar eambiya ki gali ban gai

Jab chira tazkira un ke rukhsaar ka

Waduha par lia walqamar keh diya

Dil Madina mera bana Aaqa

Ho mujhe chashme namm ataa Aaqa

Ab huzoori ho door doori ho

Phir Madine mujhe bula Aaqa

Maut ke bad bhi surur aee

Aisi ulfat ki mai pila Aaqa

Mujh ko Siddik ki sadaaqat ka

Koi zarra tu kar ataa Aaqa

Kash roye Khashiyat e Rab se

Bahre Farooq dil mera Aaqa

Bahre Usman ba hea mujh ko

Dijie Daulate Hea Aaqa

Bahr e Maula Ali mujhe ghalaba

Dushmano per tu kar ataa Aaqa

Az pee Fatima mujhe apne

Ishq me har ghari rula Aaka

Behr e Hasnain de panah mujh ko

Paikar e Sabr aur Riza Aaqa

Mujh ko sadqe me Bu Hanifa ke

Aalim e Ba’amal bana Aaqa

Vasta tujh ko Gaus e Azam ka

Nek sirat mujhe bana Aaqa

Vasta tujh ko Ala Hazrat ka

Tu mujhe muttaqi bana Aaqa

Mere Ehlo Eaal aur mujh se

Door ho jee har bala Aaqa

Muskura kar Ubaid se keh do

Tu mera banda mai tera Aaqa


Related Content

  1. Al Nabi Sallu Alai
  2. Is Karam Ka Karoon Shukr Kaise Ada   Naat Lyrics
  3. Kitna Ala Rutba Hai Mere Ghouse Azam Ka  Naat Lyrics
  4. Faslon Ko Takalluf Hai Humse Agar  Naat Lyrics
  5. ALLAH Ho Rabo Muhammadin
  6. Khak Muj Me Kamal Rakhkha Hai  Naat Lyrics
  7. AAKHRI LAMHON MEIN KYA SHEHR O BIYABAAN DEKHUN,
  8. Mein Chup Khra Huva Hun Darbar-E-Muatafa Mein  Naat Lyrics
  9. Allah Allah Shah-e-Konain Jala’lat Teri
  10. Noor Wala Aaya Hai Noor Lekar Aaya Hai
  11. YA RAB MERI SOI HUYI TAQDEER
  12. Choote Na Kabhi Tera Daman ya khwaja moinuddin hassan
  13. Muhammad Ke Shaher Mein   Naat Lyrics
  14. Ae Shahenshah e Madina Assalat o Wassalam
  15. Nabiyo Ke Sardar Aae  Naat Lyrics
  16. A’lam-E-Islam Ko Ye Eid-E-Milaad-Un-Nabi
  17. Maqsad E Aalam E Hayaat E Nabi
  18. Dard E Dil Chahiye Chashm E Tar Chahiye
  19. Na Aasmaan Ko Yun Sar Kashida Hona Tha  Naat Lyrics
  20. Ho Karam Sadqey Mein Is Raat Ke Aye Rab E Azeem

Leave a comment