Dard E Dil Chahiye Chashm E Tar Chahiye

Dard E Dil Chahiye Chashm E Tar Chahiye
Mujh Ko Aaqa Ki Pyaari Nazar Chaahiye

Hai Munawwar Ziya Sey Yeh Saara Jahan
Sab Key Dil Ki Haqeeqat Hai Unpar ‘Ayaan
Merey Dil Ki Tamanna Hai Jaan E Jahan
Noor Ki Eyk Kiran Ab Idhar Chaahiye

Sarwarey Do Jahan Ka Hai Behad Karam
Zaatey Waala Sey Qaayim Hai Mera Bharam
Mujh Ko Aaqa Dikhaatey Ho Apna Haram
Aap Ki Deed Ko Chashm E Tar Chaahiye

Khud Khudaa Ney Banaaya Hai Tum Ko Habeeb
Aur Uss Ney Banaaya Hai Tum Ko Tabeeb
Marz E ‘Isyaan Sey Ab To Shifa Ho Naseeb
Sunnaton Par ‘Amal ‘Umr Bhar Chaahiye

Ya Nabi Mujh Pey Ho Eyk Karam Ki Nazar
Baar E ‘Isyaan Sey Ab To Jhuki Hai Kamar
Koi Husn E ‘Amal To Nahin Hai Magar
Mujh Ko Bakhshish Ka Zaad E Safar Chaahiye

Bheek ‘Ilm O ‘Amal Ki ‘Ataa Keejiye
Apni Sunnat Ka Paikar Banaa Deejiye
Jaam E ‘Ulfat Mujhey Ab Pilaa Deejiye
Waqt E Aakhir Mujhey Wo Nazar Chaahiye

Sharf E Khidmat ‘Ataa Ho Gulaamon Ko Ab
Jitney ‘Ushaaq Hain Sab Rahey Baa Adab
Khuld Maskan Baney Aur Raazi Ho Rab
Har Du’a Mey Meyri Wo Asar Chaahiye

Jo Mujaahid Philisteen Mey Hain Shahaa
Aas Tum Par Laga Kar Hee Paayain Jilaa
Khaak Mey Zaalimon Ki Miley Ab Jafaa
‘Aashiqon Key Liye Ab Zafar Chaahiye

Mujh Ko Aaqa Madiney Bulatey Rahey
Shakir E Bey Nawaa Ko Nibhatey Rahey
Apna Mehmaan Hameysha Banaatey Rahey
Aakhree Waqt Mujh Ko Yeh Dar Chaahiye


Related Content

  1. Kiya Khabar Kiya Sazaaa Much Ko Miltii
  2. Ekh Talab He Ekh Hi Khoo La Ilaha Illahu (Naat Lyrics)
  3. Aadha Idhar Aadha Udhar
  4. Lab Pe Naat Paak Ka Naghma Kal Bhi Ta
  5. Khak Muj Me Kamal Rakhkha Hai  Naat Lyrics
  6. Al Madad Al Madad Al Madad Ya Khuda  Naat Lyrics
  7. He Kalaame Ilahi Me Shamsudduha  Naat Lyrics
  8. Kyunkar Na Merey Dil Main Hu Ulfat Rasool Ki
  9. Hamen Donon Jahan Mein Hai Sahara Gause-Azam Ka Lyrics
  10. TERI JALIYON KE NEECHE
  11. Aa Gaye Sarkar Naat Lyrics
  12. Aaj Muhammad aye moray ghar
  13. Muhammad Ke Ghulamon Ka Kafan Maila Nahi Hota Lyrics
  14. Maqbool Dua Karna Manzoor Sana Karna  Naat Lyrics
  15. AASMA GAR TERE TALWOON KA NAZARA KARTA
  16. Mashgala Aisa Batao Ke Zara  Naat Lyrics
  17. Noorani Darbaar Madine Waale Ka
  18. Aa Jaaye Bulawa Mujhe Aqa Tere Dar Se
  19. LAZZATE ISHQE NABI DIL ME CHUPAE RAKNA
  20. Tere Ishq Di Dolat

Leave a comment