Aye Naseeb Mere Naseeb Tu

Aye Naseeb Mere Naseeb Tu, Zara Sabr Rakh Zara Sabr Kar
Wo Bulayengey Humein Ek Din, Jo Nasheen Hain Arshon Ke Arsh Per

Ke Wo Jaantey Hain Dilon Ko Bhi, Or Jaante Hain Dilon Ki Bhi
Ke Wo Dilnasheen Hain Dilon Ke Bhi, Zara Or Dil Se Tu Arz Kar

Tu Mariz E Ishq E Rasool Hai, Or Jah E Naseeb Ye Marz Hai
Wo Tabeeb E Aalam E Marz Hain, Kyun Sisak Raha Hai Tu Marz Per

Jo Asar Karey Arshon Ke Paar, Tu Suna Kuch Aisi Kamal E Tarz
Ja Sisak Tu Fir Usi Tarz Pe, Ke Wo Aayengey Teri Tarz Per

Jo Bhara Hai Daaman Gunahon Se, To Kar Tauba Or Ye Aqeeda Rakh
Dikha Fir Nadaamatein Sajdey Me, Wo Jeelayengey Tujhe Hashr Per

Yahi Hasrat E ‘ Mehboob ‘ Hai, Wo Bulayein Farsh E Madina Or
Karun Aankhein Apni Me Band Udhar, So Jaun Fir Usi Farsh Per


Related Content

  1. Jis Nay Madinay Jana Kar Lo Tayarian  Naat Lyrics
  2. Khusravi Achi Lagi Na Sarwari Achi Lagi  Naat Lyrics
  3. Aaya Ramzan ka Mahina Kafila chala soo-e-Madina lyrics
  4. Hota agar zameen par saya Rasool ka
  5. Sunehri Jalion Ko Nazar Aane
  6. Aamad E Mustafa Se Hai Phoola Phala Chaman Chaman Naat Lyrics
  7. MERI BAAT BAN GAYI HAI
  8. Qurban Tumpe Meri Jaan
  9. Tera Rishta Bana Shiraaz Se Jameeyate Khaatir (Naat Lyrics)
  10. Mujhe Apna Bana Lo Tum Khudara  Naat Lyrics
  11. May So Jaoo Ya Mustafa Kehtey Kehtey (Naat Lyrics)
  12. Dam Ba Dam Allah Ho Allah Ho (Hamd)  Naat Lyrics
  13. Taiba Bula Lijiye Na
  14. Ujaala Jis Ka Hai Do Jahaan Mein, Woh Mere Aaqa Ki Roshni Hai
  15. Hum Gunahgaaron Ka Aye Rab Ke Rasool
  16. Bahar e Jaan Fiza Tum Ho
  17. Karam Ke Badal Baras Rahe Hain  Naat Lyrics
  18. Tere Ishq Di Dolat
  19. Agayaa Wo Noore Waala Jiska Saara Noor He (Naat Lyrics)
  20. Khuda Ka Zikr Kare  Naat Lyrics

Leave a comment