Tera Rishta Bana Shiraaz Se Jameeyate Khaatir (Naat Lyrics)

Tera Rishta Bana Shiraaz Se Jameeyate Khaatir
Para Tha Daftare Deene Kitaabullah Barham Sa

Tere Judo Karam Ka Koi Andaaza Kare Kyo(N) Kar
Tera Ek, Ek Gada Faizo Sakhaawat Mei(N) Hai Haatim Sa

Tumhaare Dar Se Jholi Bhar Muraadei(N) Le Kar Uththei(N)
Na Koi Baadshaah Tumsa, Na Koi Benawa Hamsa

Fida Aey Umme Kulsum, Aap Ki Taqdire Yaawar Ke
Ali Baaba Hua Dulha, Dulha Hua Farooqe Akram Sa

Ghazab Mei(N) Dushmano(N) Ki Jaan Hai, Teghe Shere Afgan Se
Khurujo Rafaz Ke Ghar Mei(N), Na Kyo(N) Barpa Ho Maatam Sa

Shayaati(N) Muzmahil Hai(N), Tere Naame Paak Ke Dar Se
Nikal Jaaey Na Kyo(N), Raffaz Bad Atwaar Ka Dam Sa

Manaae Eid Jo Zilhajj Mei(N), Teri Shahaadat Ki
Ilaahi, Rozo Maaho San, Unhe Guzre Muharram Sa

Hasan Dar Aa’lame Pasti Saare Rif’at Agar Daari
Bayaa(N) Farqe Iraadat Bar Dare Farooqe A’zam Sa


Related Content

  1. Ilahi Madad Kar Madad Ki Ghari   Naat Lyrics
  2. Haajiyon Aao Shahenshah ka Roza Dekho Naat Lyrics
  3. Kaabe Ke Dar Ke Saamne Maangi Hai Dua Faqat  Naat Lyrics
  4. Dil Se Hazaar Baar Madina Tujhe Salam
  5. Aaj Dulha Bana Shahe Ahmad Raza
  6. Aj Sik Mitran Di Wadheriye Kyun Dilri Udaas Ghaneri
  7. Huzoor Jante Hain   Naat Lyrics
  8. Jasne Amade Rasool Allah Hi Allah  Naat Lyrics
  9. Mein Chup Khra Huva Hun Darbar-E-Muatafa Mein  Naat Lyrics
  10. Ae Dil Bata Kaisa Laga Mera Raza Mera Raza
  11. Aaka Ko Pukar Bande Aaka Pukar
  12. Jo Madina Hum Bhi Jaate (Naat Lyrics)
  13. Bighari Banaao Makki Madani  Naat Lyrics
  14. Bigri Banaa-o Makki Madani (Naat Lyrics)
  15. Mujhe Dar Pay Phir Bulana  Naat Lyrics
  16. Fauze Ghum Ki Baraa Bar Chadhayi Hai  Naat Lyrics
  17. Ban Kay Kher-ul-Wara Agaey Mustafa Lyrics
  18. Patta Patta Boota Boota Zikr E Khuda Mein Khoya  Naat Lyrics
  19. Nahi He Koi Duniya Main Hamara  Naat Lyrics
  20. Gar Talab Sey Kuch Masewa Chahey

Leave a comment