Ban Kay Kher-ul-Wara Agaey Mustafa Lyrics

Ban kay Kher ul Wara Agaey Mustafa ham gunahgaron kee behteri kayliyay
Ik taraf bakhshishain ik taraf jannatain kesey in’aam hein ummati kayliyay

Chaarsoo rehmaton kee hawain chaleen ho gaee jis sey sari faza dil nasheen
Muskurao sabhi agaey hein nabi gham kay maaro tumhari khushi kayliyay

Halqay halqay jo dil ko suroor aeyen hein bazm main kamle wale zaroor aeye hein
Haath pehlao kashkol lay kar sabhi batt rahe hein karam har kisee kayliyay

Saamnain hon wo gumbad kee haryalian choom loon aap kay rozay kee jalian
Ey mere chara gar kar day muj pey nazar kab sey beychein hoon hazari kayliyay

Daata hujweri laasani mehr-e-ali khwaja hind ul wali baahoo ghaus e jali
Kesey kesey diyay mere mehboob nain yeh nageenain hamain roshni kayliyay

Jis kay lab par raha ummati ummati yaad un kee na bhoolo niazi kabhi
Woh kahain ummati tu bhi keh ya nabi mein hoon hazir teree chakree kayliyay


Related Content

  1. Aa Gayi Jag De Vich Bahaar
  2. Ek Baar Madine Me Ho Jaye Mere Jaana  Naat Lyrics
  3. Sarkar Bulae Kadmo Mai  Naat Lyrics
  4. YA TAIBA YA TAIBA
  5. Taiba Bula Lijiye Na
  6. Kaun Kehta Hai Aankhei(n) Chura Kar Chale  Naat Lyrics
  7. Ya Nabi Ya Nabi
  8. Huzoor Aa Gaye Hai  Naat Lyrics
  9. BIGRI BANAA-O MAKKI MADANI
  10. Takdir Muje Lai Sarkar Ke Roze Par  Naat Lyrics
  11. Konain De Wali Da Darbar Bara Sohna  Naat Lyrics
  12. Meeran Waliyon Ke Imam De Do Panjtan Ke Naam (Manqabat)  Naat Lyrics
  13. Dare Nabi Par Para Rahoon Ga Naat Lyrics
  14. AA GAYA WOH NOOR WALA JIS KA SARA NOOR HAI
  15. Kya Hi Zauk Afza Shafaat Hain Tumhari Wah Wah  Naat Lyrics
  16. Tala Al Badru Alyna
  17. AAJ DULHA BANA SHAHE AHMAD RAZA
  18. Lab Pe Aati Hai Dua Banke Tamanna Meri  Naat Lyrics
  19. Mere Sarkar Sunte Hai  Naat Lyrics
  20. Arsh Ka Dulha Aaya Hai Naat

Leave a comment