Haajiyon Aao Shahenshah ka Roza Dekho Naat Lyrics

Hajiyo Aao Shahenshah ka Roza Dekho
Kaba to dekh chuke Kabe ka Kaba dekhoRukn e Shami se miti wah’shate shame ghurbat
Ab Madine ko chalo subhe dil aaraa dekhoAabe Zam-Zam to piyaa khub bujha-e piyase
Aao jude Shahe Kowsar ka bi darya dekhoZayre Mizaab mile khoob Karamke cheente
Abre Rahmat ka yaha zowr barasnaa dekho

Dhum dekhi hai dare kaba pe betaabo ki
unke mushtako me hasrat ka tadapna dekhomisle parwana phiri karte the jis sham’a ke gird
apni us sham’a ko parwana yaha ka dekhoKhub ankho se lagaya he Gilaafe Kaba
Qasre Mahbub ke parde ka bhi jalwa dekho

Wan mutiyo ka jigar khauf se pani paya
yan siyahkaro ka daman pe machalna dekho

Awwali khana e haq ki to ziyaye dekhi
aakhri bait e nabi ka bhi tajalla dekho

aymane tur ka tha rukne yamani me farog
shola e tur yaha anjuman-ara dekho

mehre madar ka maza deti hai aagosh e hateem
jin pe maa bap fida yan karam unka dekho

Arz E Haajat Me Raha Ka’aba Kafeel E Injaah
Aao Ab Dad-Rasi E Shahe Taibah Dekho

Dho chuka zulmate dil bosa-e Sunge Aswad
Khaak bosi-e-Madina ka bhi Rutba dekho

Kar chuki rif’ate kaba pe nazar par-vaze
topi ab tham ke khaq e dar e wala dekho

be-niyazi se waha kapti payi ta’at
joshe rehmat pe yaha naz gunah ka dekho

Juma E Makka Tha Ird Ahle Ibadat Ke Liye
Mujrimo! Aao Yaha Ird E Doshamba Dekho

Multazim se to gale lag ke nikale armaan
adab o shouq ka yaha baham ulajhna dekho

Khoob mas’a me b-ummide safa daud liye
rahe janan ki safaka bhi tamasha dekho

Raqs E Bismil Ki Bahare To Mina Me Dekhi
Dil E Khu-Naba Fisha Ka Bhi Tadapna DekhoZinate Kaba me tha lakh arooso ka banaw
Jalwa farma yaha kownain ka doolha dekhoGowr se sun to Raza Kaaba se aati he sadaa
Meri ankho se mere Piyare ka Roza dekho


Related Content

  1. Bas Apne Dil Maen Madine ki
  2. Gunahon Ki Adat Churah Meray Mowla  Naat Lyrics
  3. Dil Dard Se Bismil Ki Tarah Lot Raha Ho Naat Lyrics
  4. Mubarak Tujhay Ho Arz-e-Madina
  5. Ishq Ke Rang  Naat Lyrics
  6. Bigdi Bhi Banayenge  Naat Lyrics
  7. Mere Aaqa Aao Ke Muddat Hoi Hai
  8. Woh Nabiyon Main Rehmat Laqab Panay Wala
  9. Zahe Muqaddar Huzoor-E-HaqSe
  10. Ek Ghuzarish  Naat Lyrics
  11. BALAGHAL ULA BE KAMALEHI SALLU ALAIHE WALEHI
  12. Zamin O Zaman Tumhare Liye (Naat Lyrics)
  13. AAJ ASHK MERI NAAT SONAA?E TO AJAB KYA
  14. Noor Se Apne Sarwar E Aalam  Naat Lyrics
  15. Kuch Aisa Kar De Mere Kirdgaar Aankho Me  Naat Lyrics
  16. Faslon Ko Takalluf Hai Hum Se Agar
  17. Salle Ala Nabiyena. Salle Ala Muhammadin
  18. Likh Raha Hoon Naat E-Sarwar  Naat Lyrics
  19. La Mau-Jooda Illallah La Mash-huda Illallah  Naat Lyrics
  20. Jannat Mein Leke Jayegi Chahat Rasul Ki  Naat Lyrics

Leave a comment