Sab Se Aola Woh Aala Hamara Nabi (Naat Lyrics)

Sab se aola wa aala hamara Nabi
Sab se baala wa waala hamara Nabi

Apne Moula ka pyara hamara Nabi
Dono aalam ka Dulha ha hamara Nabi

Bazme Aakhir ka Shama faroza huwa
Noore awwal ka jalwa hamara Nabi

Buj gayi jis ke aage sabhi mash’ale
Shamma woh lekeh aaya hamara Nabi

Jis ke talwon ka dhowan he aabe Hayaat
Hai woh jaane Maseeha hamara Nabi

Khalq se Awliya Awliya se Rusul
Aur Rasoolon se aala hamara Nabi

Jaise sab ka Khuda ek he waise hi
In ka un ka thumhara hamara Nabi

Kawn deta he dene ko muh chahiye
Dene waala he sacha hamara Nabi

Kya khabar kitne taare khile chhup gaye
Par na doobe na dooba hamara Nabi

Saare ooncho meh ooncha samajhye jise
Hai oos oonche se ooncha hamara Nabi

Ghum zadoh ko Raza muzda dije ke he
Be kason ka sahara hamara Nabi


Related Content

  1. La Mau-Jooda Illallah La Mash-huda Illallah  Naat Lyrics
  2. Aa Gaye Aa Gaye Mustafa Aa Gaye
  3. Mustafa Khairul Wara Ho  Naat Lyrics
  4. Madina Sadi Jaan Hai Lyrics
  5. An Nabi Sallo Alaih – Salawathullah Alaih
  6. Ab Kahan Jaon Tarap Ke Lyrics
  7. Aa Gaye Sarkar Naat Lyrics
  8. Aaj Muhammad Aye Moray Ghar
  9. Abhi jibril utre
  10. Aankhon ka taara naame Muhammed
  11. Aawaz panch waqt lagati hai momino
  12. Milad Ka Mausam Aaya Hai  Naat Lyrics
  13. Kaba Lyrics
  14. Jahan Roza E Pak E Khairul Wara Hai  Naat Lyrics
  15. Ae Rasool e Ameen khatamal morsalin,
  16. Aseero Ke Mushkil Kusha Gaus e Aazam
  17. Ek Baar Madine Me Ho Jaye Mere Jaana  Naat Lyrics
  18. Ay HabeeB E Ahmed E Mujtaba Dil E Mubtala Ka Salam Lo
  19. Na Ho Aaraam Jis Bimaar Ko Saare Zamaane Se (Naat Lyrics)
  20. Ham Dar-E-Aaqa Pay Sar Apna Jhuka Letay Hain   Naat Lyrics

Leave a comment