Haiya Alas Salah Haiya Alah Falah

Dee Hazrath e Bilal ne Kabe se jab sada
Haiya Alas Salah Haiya Alah Falah
Irshade Kibriya hai yeh Farmane Mustafa
Haiya Alas Salah Haiya Alah Falah

Paida huwe Rasool to Rehmat baras padhi
Thi Arsh se zameen talak Noor ki jhadi
Daee Haleema Goud me lekar jo chal padhi
Beeamar oonthni me ajab jaan padh gayee
Baade saba ne jhoom ke kanaun me yoon kaha
Haiya Alas Salah Haiya Alah Falah

Arshe Baree par Rab ne Bulaya Huzoor ko
Jibraeel aye aur Jagaya Huzoor ko
Haq ki raza ka jaam peelaya Huzoor ko
Chalne lage to Rab ne bataya Huzoor ko
Ummat se jaake kehna yehi tohfa hai mila
Haiya Alas Salah Haiya Alah Falah

Islam ke Alam ko uthaya Hussain ne
Baatil ke agay sar na jhukaya Hussain
kya cheez hai Namaaz bataya Hussain ne
Sajde me Apne sar ko kataya Hussain ne
Yeh dashte Karbala se abhi atee sadaa
Haiya Alas Salah Haiya Alah Falah

Dadhi tamam Nabiyaun ki Sunnat hai momino
Islam ka sha’ar hai Rehamt hai momino
Sarkar ki Ghulami ki nisbat hai momino
Sunnnat par jo chala use jannat hai momino
Jannat me bhi mile ga hamay khurbe Mustafa
Haiya Alas Salah Haiya Alah Falah

Meraj Roohe ahle baseerat Namaaz hai
Afzal tareen shughul sa’adat Namaaz hai
Mere Nabi ki Aankhaun ki Thandak Namaaz hai
Momin ke waaste to Shahadat Namaaz hai
Yeh hai kaleeme mazhare altafe kibriya
Haiya Alas Salah Haiya Alah Falah


Related Content

  1. Dil Pareshan Hai Kya Hona Hai  Naat Lyrics
  2. Abhi jibril utre
  3. Fauze Ghum Ki Baraa Bar Chadhayi Hai  Naat Lyrics
  4. Naat Sarkar Ki Parta Hoon Mein
  5. Ab To Bas Ek Hi Dhun Hai Ke Madina Dekhoon
  6. Aaqa Ke Ghulamo Ko Ab Eid Manane Do
  7. Dekhte Kya Ho Ahle Safa
  8. Muh Se Ek Baar Laga Laytey Jo Maula Pani   Naat Lyrics
  9. Allah Ho Allah Ho Dum Ba Dum Allah Ho (Naat Lyrics)
  10. Raah Pur Khaar Hai Kya Hona Hai  Naat Lyrics
  11. Hazir Hain Tere Darbar Mein Hum
  12. Al-madad, peeraan-e-peer ! Gaus-ul-aa’zam dast-geer !
  13. Bigdi Bhi Banayenge  Naat Lyrics
  14. Apni Ata Ka Haq Ne Ye Manzar Dekha Diya
  15. Mein So Jaoo Ya Mustafa Kehte Kehte  Naat Lyrics
  16. Allaha Ha Ghar Kulde Ka Naqsha Nahie Dekha (Naat Lyrics)
  17. Arsh Ka Dulha Aaya Hai Naat Lyrics
  18. Ham Faqeeron Ko Madeene
  19. Mujdawa Hai Asiyo Shaf-e-Shah-e-Abrar Hai (Naat Lyrics)
  20. Noorani Darbaar Madine Waale Ka

Leave a comment