Tadap Raha Hu Madine Ki Haazri Ke Liye  Naat Lyrics

Tadap Raha Hu Madine Ki

Sahara Chahiyay Sarkar Zindagi Ke Liye

Huzoor Aisa Koi Intizaam Ho Jaye
Salaam Ke Liye Haazir Ghulam Ho Jaye

Naseeb Walon Mein Mera Bhi Naam Ho Jaye
Jo Zindagi Ki Madinay Mein Shaam Ho Jaye

Mein Shaad Shaad Maronga Agar Dum-e-Aakhir
Zubaan Pe Jaari Muhammad Ka Naam Ho Jaye

Sahara Chahiyay Sarkar Zindagi Ke Liye
Tarap Raha Hoon Madinay Ki Haazri Ke Liye

Woh Bazm-e-Khaas Jo Darbaar-e-Aam Ho Jaye
Umeed Hai Keh Hamara Salaam Ho Jaye

Idher Bhi Ik Nigaah-e-Lutf-e-Aam Ho Jaye
Ke Aashiqon Mein Hamara Bhi Naam Ho Jaye

Tere Ghulam Ki Shaukat Jou Dekh Le Mehmood
Abhi Ayaaz Ki Surat Ghulam ho Jaye

Mein Qayal Aap Ke Rauzay Ka Hoon Woh Qayal Tur
Kaleem Se Na Kissi Din Kalaam Ho Jaye

Madinay Jaon Phir Aaon Dobara Phir Jaon
Tamaam Umar Issi Mein Tamaam Ho Jaye

Bulao Jald Madinay Mein Hai Ameer Ko Khauf
Kaheen Na Umar Do Roza Tamaam Ho Jaye

Tumhari Naat Parhon Mein Sunoo Likhoon Har Dum
Ye Zindagi Meri Yunhi Tamaam Ho Jaye

Meri Namaz-e-Janazah Ki Yun Ibadat Ho
Ke Do Jahan Ke Aaqa Imam Ho Jaye

Sahara Chahiyay Sarkar Zindagi Ke Liye
Tarap Raha Hoon Madinay Ki Haazri Ke Liye

Piya Raza O Ziya Ne Piya jou Murshid Ne
A’ta Mujhay Bhi Shah Aisa Jaam Ho Jaye


Related Content

  1. TARON MEIN ROSHNI
  2. ZIKR E KHAIR UL WARA NAAT LYRICS
  3. Aaqa Ke Ghulamo Ko Ab Eid Manane Do
  4. Balaghal Ula Bi Kamalihi
  5. Hai Kalaam-E-Ilahi Me Shams-O-Duha   Naat Lyrics
  6. Na Ho Aram Jis Bimar Ko Sare Zamane Se  Naat Lyrics
  7. BATIL KE JAB JAB BADLE HAI TEVAR NAAT LYRICS
  8. Jab Jab Nabi Ki Yaad Aye Hai Naat Lyrics
  9. Milad Ka Mausam Aaya Hai  Naat Lyrics
  10. Aaj Muhammad Aye Moray Ghar Naat
  11. Gar Talab Sey Kuch Masewa Chahey
  12. Madinah Deykhney Ki Aarazu Hai Meray Seenay Mein (Naat Lyrics)
  13. Bigri Banaa-o Makki Madani (Naat Lyrics)
  14. sallay-ala-pukaro-sarkar-arahe-hain
  15. Koi Nabi Nahi Hai Mere Mustafa Ke Baad  Naat Lyrics
  16. Jannat Mein Leke Jayegi Chahat Rasul Ki  Naat Lyrics
  17. Hota agar zameen par saya Rasool ka
  18. Main Muddat Se Is Aas Par Ji Rahi Hoon (Naat Lyrics)
  19. Dekhte Kya Ho Ahle Safa
  20. Ilahi Madad Kar Madad Ki Ghari Hai  Naat Lyrics

Leave a comment