sallay-ala-pukaro-sarkar-arahe-hain

Sallay ala PukaroAlla Humma Salli Ala Sayyidina Muhammadin
Sallay Ala Pukaro Sarkar  Arahe HainUtho Aye Bay Saharo Sarkar  Arahe Hain
Allahumma Salli Ala Sayyidina MuhammadinMaulood Ki Ghadi Hai Chalo Aamina Ke Ghar par
Aye Khuld ki Bharo Sarkar Arahe Hain

Allahumma Salli Ala Sayyidina Muhammadin

Jo Mangna Hai Mango jo lena hain so lay lo

Duniya Ke tajdaro Sarkar Arahe Hain
Allahumma Salli Ala Sayyidina Muhammadin

Purnoor hai Zamana Subhe Shabe Wiladat
Parda Utha hai kiska Subhe Shabe Wiladat

Allahumma Salli Ala Sayyidina Muhammadin

Pyaare Rabbi ul Awwal Teri Jhalak ke Sadqay

Chamka Diya Naseeban Subhe Shabe wiladat
Allahumma Salli Ala Sayyidina Muhammadin

Aaii na’ee hukoomat sikka naya chalay ga
Aalam Ne rang badla subhe shabe wiladat

Allahumma Salli Ala Sayyidina Muhammadin

Nisar Teri Chehal Pehal par hazaroun eidain qurban Rabbi Ul Awwal
Siwae iblees ke jahan mein sabhi to khushiyan mana rahe hain

Allhumma Salli Ala Sayyidina Muhammadin

Zamane Bhar ka yeh qa’ida hai ke jiska khana usi ka gana
to neimatain jin ki kharahe hain Unhi  ke geet hum garahe hain

Allahumma Salli Ala Sayyidina Muhammadin

Marhaban Marhaban Jaddal Hussaini  Marhaban
Marhaban Marhaban Ya Nooral Ayni  Marhaban

Allahumma Salli Ala Sayyidina Muhammadin

Ya Habeebi  Ya Muhammad  Ya Aroosal Qafiqayn
Ya Mu’ayyad  Ya Mumajjad  Ya Imamal Qiblatayn

Allahumma Salli Ala Sayyidina Muhammadin

Mumino Waqt e Adab Hai Amad e Mehboob-e-Rab  Hai
Jai Adaabo Tarab hai Amad e Shah-e-Arab  Hai

Allahumma Salli Ala Sayyidina Muhammadin

Aamina Bibi  Ka Jaya Barween Tareeq Aya
Subhe Sadiq ne sunaya Salawa Tullah Alayk

Allahumma Salli Ala Sayyidina Muhammadin

Aamina Bibi  Ke Gulshan Mein A’ee hai Taza Bahar
Padhte Hain Salla Alayk a Wa Sallam Aaj Daro Deewar

Allahumma Salli Ala Sayyidina Muhammadin

Kaabay Ke Badrud Duja Tum  Pe Karodoun Durood
Taiba Ke Shamsud Duha Tum  Pe Karodoun Durood

Allahumma Salli Ala Sayyidina Muhammadin

Subha Taiba Mein Hui Bat ta hai bada Noor Ka
Sadqa lay ne Noor Ka Aya Hai Taara Noor Ka

Allahumma Salli Ala Sayyidina Muhammadin

Na Kyun Ara’ishain Karta Khuda duniya ke saaman mein
Tumhe  Dulha Bana kar Bhejna tha Bazme Imkaan mein

Allahumma Salli Ala Sayyidina Muhammadin

Saray Padho Durood Aaj Sarkaar  Agaye
Duniya te do Jahanan De Muqtar Agaye

Allahumma Salli Ala Sayyidina Muhammadin

Ya RasoolAllah  ke Naare Se Hum Ko Pyaar Hai
Hum Ne yeh Naara lagay apna bida paar hai

Allahumma Salli Ala Sayyidina Muhammadin


Related Content

  1. Meray Aqa Meray Lajpaal Madinay Waley (Naat Lyrics)
  2. Noorani Darbaar Madine Waale Ka
  3. Jashan-e-Amad-e-Rasool ALlah hi Allah (Naat Lyrics)
  4. Mainto Panjatan Ka Gulam Hu  Naat Lyrics
  5. YA RAB MERI SOI HUYI TAQDEER
  6. Bighari Banaao Makki Madani  Naat Lyrics
  7. Aadha Idhar Aadha Udhar
  8. Tere Ishq Di Dolat
  9. Yeh Sab Tumahara Karam Hai Aqa
  10. Chalo Diyaar-E-Nabi Ki Jaanib   Naat Lyrics
  11. Darpesh Ho Taiba Ka Safar Kaisa Lage Ga  Naat Lyrics
  12. CHAL QALAM AB HAMD E RABB
  13. Rusul Unhi Ka To Muzdah Sunane Aaye Hai  Naat Lyrics
  14. Mustafa Khairul Wara Ho  Naat Lyrics
  15. Lab Pe Aati Hai Dua Banke Tamanna Meri  Naat Lyrics
  16. An Nabi Sallo Alaih – Salawathullah Alaih
  17. Mehboob Ki Mehfil Ko Mehboob Sajate Hai  Naat Lyrics
  18. Chamka Mahe Noor Ka Hilal   Naat Lyrics
  19. Hum Ne Marny Ki Madiny men dua
  20. Muh Se Ek Baar Laga Laytey Jo Maula Pani   Naat Lyrics

Leave a comment