Jahan Roza E Pak E Khairul Wara Hai  Naat Lyrics

Jahan Roza E Pak E Khairul Wara Hai 
Wo Jannat Nahi Hai To Phir Aur Kya Hai
Kahaan Mai Kahaan Yeh Madine Ke Galiyaan
Yeh Qisamt Nahi Hai To Phir Aur Kya Hai

Muhammed Ki Azmath Ko Kya Poochte Ho
Ke Wo Sahibe Qaba Qausain Tehre
Bashar Ki Sare Arsh Mehmaan Nawazi
Yeh Azmath Nahi Hai To Phir Aur Kya Hai

Jo Aasi Ko Kamli Me Apne Chupa Le
Jo Dushman Ko Bhi Zakhm Khakar Dua De
Use Aur Kya Naam Dega Zamana
Wo Rehmat Nahi Hai To Phir Aur Kya Hai

Qayamat Ka Ek Din Muaiyan Hai Lekin
Hamare Liye Har Nafas Hai Qayamat
Madine Se Hum Jaan Nisaraun Ki Doori
Qayamat Nahi Hai To Phir Aur Kya Hai

Tum Iqbal Yeh Naat Kehto Rahe Ho
Magar Yeh Bhi Soncha Ke Kya Kar Rahe Ho
Kahaan Tum Kahaan Madhe Mamduhe Yazdaan
Ye Jur\’Rat Nahi Hai To Phir Aur Kya Hai


Related Content

  1. Ahmed-e-Mujtaba Ya Rasool-e-Khuda
  2. Azal Ki Khushboo Ho
  3. Aao ahle shariat pardhaye tumhe
  4. Na Aasmaan Ko Yun Sar Kashida Hona Tha  Naat Lyrics
  5. Ho Karam Sarkar Ab Tou Ho Gaye Ghum Beshumaar  Naat Lyrics
  6. ALLAH Ho Rabo Muhammadin
  7. Hazir Hain Tere Darbar Mein Hum
  8. Aamal Nahin Kuch Bhi Yeh Haal Hamara Hai
  9. Ser-E-Gulshan Kon Dekhe Dasht-E-Taiba Chor Kar  Naat Lyrics
  10. Dekar Khuda Ko Jaan Ki Kimat  Naat Lyrics
  11. Jannat Mein Leke Jayegi Chahat Rasul Ki  Naat Lyrics
  12. Mein Nazar Karoon Jaan O Jigar  Naat Lyrics
  13. Woh Rasool Mera Rasool Hai (Naat Lyrics)
  14. ShaheMadina Naat Lyrics
  15. Aisa Bhi Ho Ya Syed-e-Abrar Kissi Din
  16. Mere Ghous Piya Jeelani Hain Mahboob E Subhaani
  17. Aap shamme risalat hain parwaney hum
  18. Tadap Raha Hu Madine Ki Haazri Ke Liye  Naat Lyrics
  19. Ay Mujahid-e-nabi Naat Gongunay Jaaa (Naat Lyrics)
  20. Na Ho Aaraam Jis Bimaar Ko Saare Zamaane Se (Naat Lyrics)

Leave a comment