Aisa Bhi Ho Ya Syed-e-Abrar Kissi Din

Aisa Bhi Ho Ya Syed-e-Abrar Kissi Din
ho jaye meri hazri sarkar kisi din

har waqat tasavor men madiny ki gali ho
aur yaad muhammad ki mery dil men basi ho
ay kash men bn jaon madiny ka musafar
phir roti hui taiba ko barat chali ho

vo dar vo daricha vohi mehrab vo membar
ho samny unky ye gunahgar kisi din

ya rab meri soi hui taqdeer jaga dy
ankhen mujhy den hen to madina bhi dikha dy
mudat sy men in hathon sy karta hun duayen
in hathon men jali vo sunehri tun thama dy

men bhi kahon dekho ary dekho meri ankhen
sarkar jo bakhshy mujhy didar kisi din
ya rab tery mehboob ka jalwa nazar aye
us noor-e-mujasam ka sarapa nazar aye
ay kash kabhi aisa bhi khawab men mery
hon jiski gulami men vo aqa nazar aye

den apky rozy py adeeb aky salami
sarkar kisi din mery sarkar kisi din
ho jaye meri hazri sarkar kisi din




Related Content

  1. MERI BAAT BAN GAYI HAI
  2. Na Ho Aram Jis Bimar Ko Sare Zamane Se  Naat Lyrics
  3. Na Kaleem Ka Tasawwur Na Khiyaal-E-Tur-E-Sinaa  Naat Lyrics
  4. Maine Rukh Kar Liya Madine Ka
  5. Manqabat E Taaj Ush Shariyath  Naat Lyrics
  6. La ilaha illa Ho- La ilaha illa Ho Lyrics
  7. Woh Rasool, Mera Rasool Hai
  8. Allah Allah Allahu,Allah Allah Allahu
  9. Apne Dar Pe Jo Bulaa-o To Bahot Ach’cha Ho
  10. Aaj Muhammad Aye Moray Ghar
  11. Dil Se Hazaar Baar Madina Tujhe Salam
  12. Dil Ko Unse Khuda Juda Na Kare
  13. ALLAH Ho Rabo Muhammadin
  14. Lutf Unka Aam Ho Hi Jayega  Naat Lyrics
  15. Qaseeda E Mearaj  Naat Lyrics
  16. Tum Par Main Jan
  17. Arsh Ki Aql Dang Hai Charkh Pe Asmaan Hai  Naat Lyrics
  18. Jashan-e-Amad-e-Rasool ALlah hi Allah (Naat Lyrics)
  19. Har Waqt Tasaw’wur Mein Madine Ki Gali Ho  Naat Lyrics
  20. Zindagi Hay Nabi Ki Nabi Ke Liye Naat Lyrics

Leave a comment