Arsh Ki Aql Dang Hai Charkh Pe Asmaan Hai  Naat Lyrics

Arsh Ki Aql Dang Hai Charkh Pe Asmaan Hai
Jane Muraad Ab Kidhar Haye Tera Makaan Hai

Bazme Sana E Zulf Me Meri Aruse Fikr Ko
Saari Bahaar E Hasht Khuld Chota Sa Itrdaan Hai

Arsh Pe Jaake Murge Aql Thak Ke Gira Gash Aa Gaya
Aur Abhi Manzilo Pare Pehla Hi Aastan Hai

Arsh Pe Taaja Cher Char Farsh Pe Turfa Dhoom Dhaam
Kaan Jidhar Lagaiye Teri Hi Daastaan Hai

Ik Tere Rukh Ki Roushni Chain Hai Do Jahan Ki
Ins Ka Uns Usi Se Hai Jaan Ki Wo Hi Jaan Hai

Wo Jo Na The To Kuch Na Tha Wo Jo Na Ho To Kuch Na Ho
Jaan Hai Wo Jahan Ki Jaan Hai To Jahan Hai

Ghod Me Aalam E Shabab Haal e Shabaab Kuch Na Pooch
Ghulbune Baagh E Noor Ki Aur Hi Kuch Uthan Hai

Tujhsa Siyahkaar Kaun Unsa Shafe’a Hai Kaha
Phir Wo Tujhi Ko Bhool Jaye Dil Ye Tera Ghuman Hai

Peshe Nazar Wo Nou Bahaar Sajde Ko Dil Hai Bekaraar
Rokiye Sar Ko Rokiye Ha Yahi Imtehaan Hai

Shaan E Khuda Na Saath De Unke Kheram Ka Wo Baaz
Sidra Se Ta Zamee Jise Narm Si Ek Udaan Hai

Baare Jalaal Utha Liya Garche Kaleja Shak Hua
Yu To Ye Maahe Sabz Rang Nazro Me Dhaan Pan Hai

Khauf Na Rakh Raza Zara Tu To Hai Abad E Mustafa
Tere Liye Amaan Hai Tere Liye Amaan Hai


Related Content

  1. Manghte He Karam Unka Sadaa (Naat Lyrics)
  2. Dil Se Hazaar Baar Madinah Tujhe Salaam Lyrics
  3. Dil Pareshan Hai Kya Hona Hai  Naat Lyrics
  4. BALAGHAL ULA BE KAMALEHI SALLU ALAIHE WALEHI
  5. OWAISION MEIN BAITH JA BILALIYON MEIN BAITH JA
  6. Jab Gumbad-e-khizra Pe Woh Pehli Nazar Gayi   Naat Lyrics
  7. Bigare Huwe Bante Hain Kam Madine Me  Naat Lyrics
  8. Khuda Ka Ziker Karay, Zikr e Mustafa Na Karay
  9. Chumma Rozy Di Jali Nu   Naat Lyrics
  10. Mera Dil Aur Meri Jaan Madine Waale (Naat Lyrics)
  11. Main Aasi Hoon Magar Tu Hai Gaffar Ya Allah  Naat Lyrics
  12. Ya Rabb Mujhe Deewana Madina Ka Bana De (Naat Lyrics)
  13. Aye Naseeb Mere Naseeb Tu
  14. Aa Jaye Bulawa Mujhe Aqa Tere Dar Se
  15. Balaghal Ula Bi Kamalihi
  16. Aa Jaaye Bulawa Mujhe Aqa Tere Dar Se
  17. Dil Se Hazaar Baar Madina Tujhe Salam
  18. Meray Rub Kahan Par Naheeh Hai Tu
  19. Ay Mustafa ke fool dilojaan ya hussain
  20. AA GAYA WOH NOOR WALA JIS KA SARA NOOR HAI

Leave a comment