Kya Mehakte Hain Mahekne Wale

Kya Mahekte Hain Mahekne Wale

Kya Mahekte Hain Mahekne Wale
Boo Pe Chalte Hain Bhatakne Wale

Jagmaga Uthi Meri Gor Ki Khaak
Tere Qurbaan Chamakne Wale

Mahe Bedaag Ke Sadqe Jaaun
Yun Damakte Hain Damakne Wale

Arsh Tak Phaili Hai Taab E Aariz
Kya Jhalakte Hain Jhalakne Wale

Gul E Taiba Ki Sana Gaate Hain
Nakhl E Tooba Pe Chahekne Wale

Aasiyo! Thaam Lo Daaman Un Ka
Wo Nahin Haath Jhatakne Wale

Abr E Rehmat Ke Salaami Rehna
Phalte Hain Paude Lachakne Wale

Arey Ye Jalwa Gaahe Jaanan Hain
Kuch Adab Bhi Hain Phadakne Wale

Sunniyo! Un Se Madad Maange Jao
Pade Bakte Rehte Hain Bakne Wale

Sham’e Yaad E Rukh E Jaanan Na Bujhe
Khaaq Ho Jaaye Bhadakne Wale

Maut Kehti Hai Ke Jalwa Hai Qareeb
Ek Zaraa So Lein Bilakne Wale

Hum Bhi Khumhlaane Se Gaafil The Kabhi
Kya Hansa Gunche Chatakne Wale

Nakhl Se Chhutke Ye Kya Haal Huwa
Aah! O Patte Khadakne Wale

Jab Gire Munh Sooye Maikhana Tha
Hosh Mein Hai Ye Behekne Wale

Dekh O Zakhm E Dil Aape Ko Sambhal
Phoot Behte Hain Tapakne Wale

Mae Kahaan Aur Kahaan Main Zaahid
Yun Bhi To Chhakte Hain Chhakne Wale

Kaf E Dariya E Karam Mein Hai Raza
Paanch Fawware Chhalakne Wale


Related Content

  1. Koi Nabi Nahi Hai Mere Mustafa Ke Baad  Naat Lyrics
  2. Falak Ke Naazaro Zameen Ki Bahaaro  Naat Lyrics
  3. May So Jaoo Ya Mustafa Kehtey Kehtey (Naat Lyrics)
  4. CHAL QALAM AB HAMD E RABB
  5. Woh Rasool, Mera Rasool Hai
  6. Aawaz panch waqt lagati hai momino
  7. Izn Kar do Ataa Dar Pe Aaon Shaha Naat Lyrics
  8. Kaabe Ke Dar Ke Saamne (Naat Lyrics)
  9. Ay Mujahid-e-nabi Naat Gongunay Jaaa (Naat Lyrics)
  10. Allah Ne Pohanchaya Sarkar Ke Qadmon Main Naat Lyrics
  11. Dardo Aalam Ke Mare
  12. Noor Ki Barsat Ka Alam Nirala Ho Gya (Naat Lyrics)
  13. Aadha Idhar Aadha Udhar
  14. Aa Dil Main Tujhe Rakh Loun
  15. Soo Ae Jannat Kohn Jaae Dar Tumhara Chor Kar
  16. Ae Sabz Gumbad Wale Lyrics
  17. Madani Madine Waale (Naat Lyrics)
  18. Pesh E Haq Muzhda Shafa-at Ka Sunate Jaenge Lyrics
  19. Amina Ka Laal Aaya Lyrics
  20. Ya Nabi Nazre Karam Farmana Lyrics

Leave a comment