Munawwar Meri Aankhon ko Naat Lyrics

Munawwar meri aankhon ko

Mere Shamso-dduha kardey

Gamon ki dhup mein woh

Sayae zulfe dutaa kardey

Jahan-bani ata karde

Bhari jannat hiba kardey

Nabi Mukhtar-e-kull hey

Jisko jo chahain ata karde

Jahan mein unki chalti hai

Wo dam mein kya se kya kardein

Zameen ko aasman karde

Surayya ko sara karde

Faza main udne wale yhun

Na itraaein nidaa kardey

Wo jab chahain jise chahain

Use farmaan-rawa kardey

Nabi se jo hai be-gaana

Use dil se juda kardey

Pidar Madar Biradar

Jaano maal un par fida kardey

Suraka ko bhi sone key to

Woh kangan ata kardey

Nabi Mukhtar-e-kull hey

Jisko jo chahain ata karde

Ata karde bula kar dey

Bitha kar de utha kar dey

Nabi Mukhtar-e-kull hey

Jaise jab chahe ata kardey

Jahan mein aam paygam e shahe

Ahmad Raza kardey

Palat kar pichhe dekhey

Fir se Tajdeed e wafa kardey

Khataein karne wala main

Ataein karne wale aap

Mere Aaqa mere haq main

Ise dastur saa kardey

Khayale hazrate Hassan sey

Ham naatein sajate hain

Kami reh jaaye to puree

Bareli ke Raza kardey

Muje kiya fikr ho Akhtar

Mere yaawar hain woh yaawar

Bala ho oh meri jo khud

Giriftare balaa karde

Tamannae dil e Ashraf

Bas itni hai sare Kausar

Jab Aaqa jame kausar dey

Labe Akdas laga kar dey


Related Content

  1. Mangate Hain Karam Unka Sada  Naat Lyrics
  2. Jhoole Jhoole Pyare Mohammad  Naat Lyrics
  3. Chamak Tujh Say Paatay Hain
  4. Nazar Mai Hai Kaba Tu Dil Mai  Naat Lyrics
  5. Un Ka Jo Ghulaam Hogaye (Naat Lyrics)
  6. Gar Talab Sey Kuch Masewa Chahey
  7. Balaghal Ula Bi Kamalihi
  8. Kankar Se Kalma Padhwao Phir Kehna Hum Jaise The
  9. Tere Qadmo Me Aana Mera Kaam Tha
  10. Fida Kr Ishq-e-Nabi Par Jaan  Naat Lyrics
  11. Nabi Ki Naat Me Padh Lun To Koi Baat Nahi
  12. Ay Mujahid-e-nabi Naat Gongunay Jaaa (Naat Lyrics)
  13. Arsh Ka Dulha Aaya Hai Naat Lyrics
  14. Soo Ae Jannat Kohn Jaae Dar Tumhara Chor Kar
  15. Maqsad E Aalam E Hayaat E Nabi
  16. Mustafa E Zaat E Yakta Aap Hain  Naat Lyrics
  17. Maqbool Dua Karna Manzoor Sana Karna  Naat Lyrics
  18. Ham Faqeeron Ko Madeene
  19. Mehboob Ki Mehfil Ko Mehboob Sajate Hai  Naat Lyrics
  20. Qadri Aastana Salamat Rahe  Naat Lyrics

Leave a comment