Bakht e Khufta Ne Mujhe Roze Pe Jane Na Diya

Bakht e Khufta Ne Mujhe Roze Pe Jane Na Diya
Chashm-O-Dil Seenay Kaleyje Se Laganay Na Dia
Aah! Qismat Mujhe Duniya Ke Ghamon Ne Roka
Haaye! Taqdeer Keh Taiba Mujhe Jaanay Na Dia
Itna Kamzor Kiya Zoa’afa E Quwa Ne Mujh Ko
Paanv To Paanv Mujhe Sarr Bhi Uthane Na Diya
Kabhi Beemar E Muhabbat Bhi Hue Hai Achhe
Roz Afzu(n) Hai Marz Kaam Dawa Ne Na Diya
Sharbat-E-Deedar Ne Aur Aag Lagadei Dil Mein
Tapish-E-Dil Ko Barhaya Hai Bujhanay Na Diya
Ab Kahan Jayega Naqsh Tera Mere Dil Se
Teh Mein Rakha Hai Issay Dil Ne Gumanay Na Diya
Mere A’mal Ka Badla Tou Jahannum Hee Tha
Mein Tou Jaata Mujhe Sarkar Ne Jaanay Na Diya
Nafs-E-Badkaar Ne Ne Dil Pe Ye Qiyamat Torri
Amal Naik Kia Bhi Tou Chupanay Na Diya
Aur Chamakti Sei Ghazal Koi Parho Aey Noori
Rung Apna Abhi Jamnay Sho’ra Ne Na Diya


Related Content

  1. Aalam e Islam Ko Eid e Meelad un Nabi
  2. MEHBOOB DA MELA AE
  3. Roze Ki Deewar Se Rishta Jor Liya  Naat Lyrics
  4. Ya Rasool Allah Ya Habeeb Allah (Naat Lyrics)
  5. Sadkhe Me Mustafa Ke Madine Ko Jayeinge  Naat Lyrics
  6. Aaka Ko Pukar Bande Aaka Pukar
  7. Mein Mangta Haan Teray Ishq Da  Naat Lyrics
  8. Aawaz panch waqt lagati hai momino
  9. Ban Ke Noor E Khuda Mustafa Agaye
  10. Naat Sarkar Ki Parta Hoon Mein  Naat Lyrics
  11. Naatein Sarkar Ki Parta Hoon Mein
  12. Dare Khawaja Pe Sawali  Naat Lyrics
  13. Azal Ki Khushboo Ho Jis Mein Pinhaa’n Koi Bataye To Naam Aisa Lyrics
  14. AI SABZE GHUMBADH WALE MANZOOR DUA KARNA
  15. Munawwar Meri Aankhon Ko Mere Shamsud Duhaa Kar Dein  Naat Lyrics
  16. Uchiyan Uchiyan Shaana 
  17. Muhammad Nabina   Naat Lyrics
  18. Dil Madina Mera Bana Aaqa Naat Lyrics
  19. Jahaan Rauza E Pak E Khairul Wara Hai
  20. Tala Al Badru Alyna

Leave a comment