Rukh Se Parda Ab Apne Hata Do  Naat Lyrics

Rukh se parda ab apne hata do

Jaliyon par nigahen jamee  he

Apna jalwa isi me dikhado

Jaliyon par nigahe jami  he

Ghous ul azam ho ghous ul wara ho

Noor ho noor e salle alaa ho

Kya bayan aapka martaba ho

Dastagir aur mushkil kusha ho

Aaj deedar apna karado

Jaliyon par nigahe jami  he

Sunn rahe  he wo fariyad meri

Khaak hogi na barabaad meri

Mai kahi bhi maru shahe jilaan

Rooh pahuchegi baghdad meri

Mujh ko parwas ke par laga do

Jaliyon par nigahe jami  he

ik mujrim siyahkar hu mai

Har khata ka sazawar hu mai

Mere charo taraf  he andhera

Roshni ka talabgar hu mai

Ik diya hi samjh kar jala do

Ik diya hi samajh kar jala do

Jaliyon par nigahe jami  he

Wajd me aayega sara aalam

Jab pukarenge ya ghous ul azam

Wo nikal aayenge jaliyon se

Aur kadmo me gir jayenge hum

Fir kahenge ke bigdi bana do

Jaliyon par nigahe jami  he

Fikr dikho khayalat dikhao

Ye akidat ye jazbat dikho

Mai hu kiya meri aukat dikho

Samne kaisi zaat  he dikho

Aay adeeb apne sar ko jhuka do

Jaliyon par nigahe jami  he

Faslon ko khudara mitado

Jaliyon par nigahe jami  he

Rukh se parda ab apne hatado

Jaliyon par nigahe jami  he


Related Content

  1. Aa mil yaar saar le meri, meri jaan dukhaan ne
  2. Mere Sarkar Sunte Hai  Naat Lyrics
  3. Aa Gayi Jag De Vich Bahaar
  4. Takdir Muje Lai Sarkar Ke Roze Par  Naat Lyrics
  5. Jo Bhi Dushman Hai Mere Raza Ka  Naat Lyrics
  6. Arzo Sama Banay Hain – Naat Lyrics
  7. Main Nazar Karun Jaan O Jiigar  Naat Lyrics
  8. Ban Ja Toon Vi Yaar Madine Wale Da Lyrics
  9. Aamad E Mustafa Se Hai Phoola Phala Chaman Chaman
  10. Munawwar Meri Aankhon ko Naat Lyrics
  11. Aye Madine ke Tajdar Tujhe
  12. Rab Mehfilan Sajayan
  13. Aane Walon Yeh To Batao Lyrics
  14. Sarkaar Ke Qadmo Mein  Naat Lyrics
  15. Lutf Unka Aam Ho Hi Jayega  Naat Lyrics
  16. Har Waqt Tasaw’wur Mein Madine Ki Gali Ho  Naat Lyrics
  17. Jashn-e-wiladat Zindabad  Naat Lyrics
  18. Sab Se Aola Woh Aala Hamara Nabi (Naat Lyrics)
  19. MADINE KA SAFAR HAI AUR MAIN NAMDEDA NAMDEDA NAAT LYRICS
  20. Mera Dil Or Meri Jaan Naat Lyrics

Leave a comment