aaka ko pukar bande aaka pukar
inshaallah ho jaega tera bera paar
aaka ko pukar bande……………….
unke hath me cool kunji hai
rab ne unhe mukhtar kiya
hum ko unka mangta banaya
or unhe sarkar kiya
jo sarkar ke dar ka gada hai
wo khud hai mukhtar
aaka ko pukar bande………………..
kya kehana darbare nabi ka
uski shaan hi aali hai
har giz na mehrum wo lota
us dar ka jo sawali hai
aao chale ab suae madina
chhor ke sab dharbar
aaka ko pukar bande………………..
aala hazarat ne yaro ye
sabak hame sikhlaya hai
jo gustakhe khuda wa nabi hai
apna nahi wo paraya hai
ha aise gustakho par
maula ki hai fitkar
aaka ko pukar bande………………..
kyu gamgin hai tu ae ‘sayyid’
dar par wo bulwaenge
ranjo gam sab dur karege
soae bhug jagaenge
or bhi koy unke siwa hai
dukhiyo ka gam-khwar
aaka ko pukar bande………………..
apni to pahechan yahi hai
apni to hai shaan yahi
daman mai kuchh or nahi hai
dil mai hai armaan yahi
itni parhu me unki naate
razi ho sarkar
aaka ko pukar bande………………..
yade nabi me tu ae ‘razwi’
unki midahat karta ja
deewaro ka dil bhar aae
zom ke naate parhata ja
jald madine jaaega tu
lagate hai aasar
aaka ko pukar bande………………..
aaka ko pukar bande aaka pukar
Related Content
- Aa Jaye Bulawa Mujhe Aqa Tere Dar Se
- Pare Pare Pe Likhkha Hai Aaka Ka Naam Naat Lyrics
- Falak Ke Naazaro Zameen Ki Bahaaro Naat Lyrics
- Sab Ke Bas Ki Baat Nahi Naat Lyrics
- Sakhi Piya Ko Jo Main Na Dekhon (Naat Lyrics)
- Tumhi Arsh Say Farsh Par Janay Walay (Naat Lyrics)
- Woh Nabiyon Main Rehmat Laqab Panay Wala
- AA GAYE MAIDAN MAIN WAFADAR E SAHABA
- Azal Ki Khushboo Ho Jismein
- Piraane Pir, Meri Bigri Banaao Naat Lyrics
- Jitna Diya Sarkaar Ne Mujh Ko Itni Meri Awqaat Nahi
- Kaak Sooraj Se Andehro Ka Izalah Hoga (Naat Lyrics)
- Noor Ki Barsat Ka Alam Nirala Ho Gya (Naat Lyrics)
- Chal Qalam Ab Hamd E Rabb Maqsood Hai Naat Lyrics
- Abhi jibril utre
- Dil Madina Mera Bana Aaqa Naat Lyrics
- Bas Apne Dil Maen Madine ki
- Khairul Bashar Par Lakho Salam Naat Lyrics
- Rahmat Ka Hai Darwaza Khula
- JASHNE AHMEDE RASOOL ALLAH HI ALLAH