Un Ki Nazar Mein

Un (pbuh) ki nazar main jab se main hoon ranj nahi aalaam nahi
Meri nazar main is se barh kar or koi kaam inaam nahi

Ronay wali aankhein maango rona sab ka kaam nahi
Zikar-e-muhabbat aam hay lekin soz-e-muhabbat aam nahi

Tu shayer hay naat-e-Nabi (pbuh) ka wayez ban kar baat na kar
Khizar se rasta pooch kay chalna deewano ka kaam nahi

Jo mehroom-e-rakht-e-safar thay un (pbuh) ki gali tak ja puhnchay
Jazba-e-ulfat sadiq ho to koi tarapna kaam nahi

Un (pbuh) ka sana khwan Un (pbuh) ka bhikari Un (pbuh) ka sawali un (pbuh) ka gadaa
Sirf Adeeb na bolo mujh ko aik hee mera naam nahi

Un (pbuh) ki nazar main jab se main hoon ranj nahi aalaam nahi
Meri nazar main is se barh kar or koi kaam inaam nahi


Related Content

  1. Muhammad Nabina   Naat Lyrics
  2. Apni Rehmat Ke Sumandar Mein Utar Jaane De Naat Lyrics
  3. Aaqa Ka Milad Aaya
  4. Hum Apni Hasrat E Dil Ko Mitane Aaye Hai  Naat Lyrics
  5. Aagae Mustafa Ki Sawaari
  6. Mere Allah Ke Nigaar Salaam  Naat Lyrics
  7. Ishq Ke Rang  Naat Lyrics
  8. Meetha Meetha He Mere Muhammad Ka Naam  Naat Lyrics
  9. Dekhte Kya Ho Ahle Safa
  10. Jahan Roza E Pak Khreulwara Hai
  11. Meray Kamli Walay Ki Shaan Hi Nirali Hai Naat Lyrics
  12. Lutf Unka Aam Ho Hi Jayega  Naat Lyrics
  13. Sare Jahan Se Achha Hai Sange Dar Tumhara  Naat Lyrics
  14. Aa Dil Main Tujhe Rakh Loun
  15. Main To Khud Unke Dar Ka Gada Hoon Naat Lyrics
  16. Karahe Hain Teri Sana Khani
  17. Allah Ne Pohanchaya Sarkar Ke Qadmon Main Naat Lyrics
  18. Allah Allah Shah-e-Konain Jala’lat Teri
  19. Khuda Ka Ziker Karay, Zikr e Mustafa Na Karay
  20. ALLAH Ho Rabo Muhammadin

Leave a comment