Maqsad E Aalam E Hayaat E Nabi

Maqsad E Aalam E Hayaat E Nabi
Gar Khuda Chahta “ Na ” Kya Hotey?
Wo They Pyare, Hain, Rahengey Rab Ke
Ummati Hum Na Unke Kabhi Pyarey Hotey

Bijli Suraj Sitarey Chanda Nahi
Jugnoo Aatish Na Sham’aa Or Charag
Sadqa E Noor Ke Ye Sadqey Hain
Na Agar Hotey Nabi To Na Ye Sarey Hotey

Ye Khalaq Khwahishein Hi Kyun Karta
Ye Falaq Baarishein Hi Kyun Karta
Koi Saani Hi Kis Ka Kyun Hota
Wo Jo Saaya Hi Siron Pe Na Hamare Hotey

Martabon Me Wo Sab Se Aala Hain
Wo Jo Mere Huzur E Vaala Hain
Saari Duniya Jahan Sawal Karey
Dar Jo Hota Na Muqaddas To Laaley Hotey

Paar Us Arsh Ke Rasai Teri
Tootey Dil Hi To Hain Kamai Teri
Hon Fida Kyun Na Sab Tere Aye Habeeb
Tum Se Hai Apna Vajood Or Kahan Ke Hotey

Mominon Khoob Padho Un Pe Darood
Or Bhejo Salaam Un Pe Ke Wo
Jo Humein Hashr Me Jeelayengey
Saamne Rab Ke Wo Rotey Rotey

Rehmat E Do Jahan Ho Tum Aaqa
Kyun Na Ho Naazan Qismat E ‘ Mehboob ‘
Tere Tukdon Pe Paley Hain Ab Tak
Gar Na Hotey To Kahan Pair Pasare Hotey


Related Content

  1. Bigri Bana-O Makki Madani, Bigri Bana-O Makki Madani
  2. Hazir Hain Tere Darbar Mein Hum
  3. Noor Wala Aya Hai Naat Lyrics
  4. Kare Chara Sazi Ziyarat Kisi Ki  Naat Lyrics
  5. Ab Kahan Jaon Tarap Ke Lyrics
  6. Bheeni Suhani Subh Mein Thandak Jigar Ki Hai  
  7. Aakhri roze hain dil ghamnak muztar jaan hai
  8. Ali Haidar ka gharana
  9. Salle Ala Nabi Ye Na Sale Ala Mohammadin  Naat Lyrics
  10. Zamin O Zaman Tumhare Liye (Naat Lyrics)
  11. Koi Saleeqa Hai Aarzoo Ka Na Bandagi Meri Bandagi Hai  Naat Lyrics
  12. Bigdi Bhi Banayenge  Naat Lyrics
  13. Sarwar Kahoo Ke Maliko Maula Kahu Tujhe  Naat Lyrics
  14. TARON MEIN ROSHNI
  15. Rab Ne Diya Hai Unko  Naat Lyrics
  16. Izn Kar do Ataa Dar Pe Aaon Shaha Naat Lyrics
  17. Rehmat Baras Rahi Hai Muhammad Ke Shaher Mein  Naat Lyrics
  18. Dil Dard Se Bismil Ki Tarha Laut Raha Ho  Naat Lyrics
  19. Mera Dil Madina Bana De Ya Rasoolallah  Naat Lyrics
  20. Dile Dard Mand Ki Dastan Na Kahu Ju Tum Se To Kiya Karu  Naat Lyrics

Leave a comment