Bheeni Suhani Subh Mein Thandak Jigar Ki Hai  

Bheeni Suhani Subh Me Thandak Jigar Ki Hai

Kaliyaan Khili Dilo Ki Hawa Ye Kidhar Ki Hai

Khubti Huwi Nazar Mei Adaa Kis Sahar  Ki Hai
Chubhti Huwi Jigar Mei Sadaa Kis Gajar Ki Hai

Daaley Hari Hari Hai To  Baaley Bhari Bhari
Kishte Amal Pari Hai Ye Barish Kidhar Ki Hai

Hum Jaye Aur Qadam Se Lipat Kar Haram Kahey
Sounpa  Khuda Ko Ye Azmat Kis Safar Ki Hai

Hum Girdey Kaaba Phirte They Kal Tak Aur Aaj Wooh
Hum Par Nisaar Hai Ye Iradat Kidh’ar Ki Hai

Kalik Jabeen Ki Sajdaaye Dar Se Chudaavogey
Mujh Ko Bhi Le Chalo Ye Tamanna Hajar Ki Hai

Dooba Huwa Hai Shouq Mei Zam Zam Aur Aankh Se
Jhaale Baras Rahey Hai Ye Hasrat Kidhar Ki Hai

Barsa Ke Jaane Walo Pa Ghouhar Karu Nisaar
Abrey Karam Se Arz Ye Mizaabey Zar Ki Hai

Aagooshe Shouq Kholey Hai Jin Ke Liye Hateem
Woh Phir Ke Dekhte Nahi Ye Dhun Kidhar Ki Hai

Haa’n Haa’n Rahey Madina Hai Ghafil Zara Tu Jaag
Wo Paav Rakhne Waley Ye Jaa Chashmo Sar Ki Hai

Waaru Qadam Qadam Pa Kay  Har Dam Hai Jaane Nao
Ye Raahey Jaan Fiza Mere Moula Ke Dar Ki Hai

Barsa Ke Jaane Walo Pa Ghouhar Karu Nisaar
Abrey Karam Se Arz Ye Mizaabey Zar Ki Hai

Aagooshe Shouq Kholey Hai Jin Ke Liye Hateem
Woh Phir Ke Dekhte Nahi Ye Dhun Kidhar Ki Hai

Haa’n Haa’n Rahey Madina Hai Ghafil Zara Tu Jaag
Wo Paav Rakhne Waley Ye Jaa Chashmo Sar Ki Hai

Waaru Qadam Qadam Pa Kay  Har Dam Hai Jaane Nao
Ye Raahey Jaan Fiza Mere Moula Ke Dar Ki Hai

Ghadiya Gini Hai Barso Ke Ye Shubh Ghadi Phiri
Marmar Ke Phir Ye Sil Mere Seene Se Sar Ki Hai

Allaho Akbar Apne Qadam Aur Ye Khaakey Pak
Hasrat Malai’ka  Ko Jahaan Waz’ye Sar Ki Hai

Mea’raj Ka Sama Hai Kaha Pahonchey Zae’roo
Kursi Se Onchi Kursi Usi Pak Ghar Ki Hai

Ushhaq Rouza Sajdey Mei Suye Haram Jhukey
Allah Jaanta Hai Ke Niyyat Kidhar Ki Hai

Ye Ghar Ye Dar Hai Uska Jo Ghar Dar Se Paak Hai
Muzhdah Ho Be-Gharo Kay Salaa Achchey Ghar Ki Hai

Mehboobe Rabbe Arsh Hai Is Sabz Qubba Mei
Pahlu Mei Jalwa Gah Ateeqo Umar Ki Hai

Chaye Malaika Hai Lagaatar Hai Durood
Badley Hai Pahrey Badli Mei Barish Durar Ki Hai

Sa’dayn Ka Qiraan Hai Pahluye Maah Mei
Jhurmut Kiye Hai Taarey Tajalli Qamar Ki Hai

Sattar Hazaar Subh Mei Sattar Hazaar Shaam
Yun Bandagiye Zulfo Rukh Aatho Pahar Ki Hai

Jo Ek Baar Aye Dobara Na Ayenge
Rukhsat  Hi  Bargah Se Bas Is Qadar Ki Hai

Tadpa Karey Badal Ke Phir Aana Kaha Naseeb
Bey Hukm Kab Majaal  Parinde Ko Par Ki Hai

Ay Waye Beikasiye Tammana Ke Ab Ummeed
Din Ko Na Shaam Ki Hai Na Shab Ko Sahar Ki Hai

Ye Badliyan Na Ho To Karooron Ki Aas Jaye
Aur Bargaahe  Marhamate Aaam Tar Ki Hai

Masoom Ko Hai Umr Mei Sirf Ek Bar Bar
Aasi Padey Rahe To Sila Umr Bhar Ki Hai

Zinda Rahe To Haazriye Baargaah Naseeb
Mar Jaye To Hayaate Abad Aysh Ghar Ki Hai

Moflis Aur Aisey Dar Se Phirey Be-Ghani Huve
Chandi Har Ek Tarah To Yaha Gadiya Gar Ki Hai


Related Content

  1. Banke Sail Madine Noo Lyrics
  2. Aamal Nahin Kuch Bhi Yeh Haal Hamara Hai
  3. Aankhen purnoor karu dekh ke chehra unka
  4. Meri Darkan Mey Ya Nabi Meri Sanson Mey Ya Nabi (Naat Lyrics)
  5. Sultane Jahan Mehboobe Khuda Teri Shaano Shaukat Kya Kehna  Naat Lyrics
  6. Kya Khabar Kya Saza Mujh Ko Milti  Naat Lyrics
  7. Islam Zindabad, Islam Zindabad
  8. Unki Mahek Ne Dil Ke Ghunchey Khila Diye He
  9. Dare Khawaja Pe Sawali  Naat Lyrics
  10. Ab To Bas Aik Hi Dhun Hai Naat
  11. Jab Zaban Par Muhammad ka nam agaya
  12. Kaliyaan Zulfaa Wala Dukhi Dillan Daa Sahaara  Naat Lyrics
  13. Wah Kya Joodo Karam Tazmeen
  14. Kya Jane Duniya Wale Rutba Mere Madani Ka  Naat Lyrics
  15. AAKHRI LAMHON MEIN KYA SHEHR O BIYABAAN DEKHUN,
  16. Ya Rabb Tere Mahboob Ka Jalwa Nazar Aaye (Naat Lyrics)
  17. Ay Mujahid-e-nabi Naat Gongunay Jaaa (Naat Lyrics)
  18. Naat Sarkar Ki Parta Hoon Mein
  19. Kaabe Ke Dar Ke Saamne (Naat Lyrics)
  20. Sahab E Rehmat E Baari Hai Barahvi Tareekh

Leave a comment