Noori Mehfil Pe Chadar Tani Noor Ki  Naat Lyrics

Noori Mehfil Pe Chadar Tani Noor Ki

Noor Phela Huwa Aaj Ki Raat He

Chandni Mein Hen Dubay Huwey Do Jahan

Kon Jalwa Numa Aaj Ki Raat He

Farsh Per Dhoom He Arsh Per Dhoom He

Badnasibi He Uski Jo Mehroom He

Phir Milay Gi Yeh Shab Kisko Maloom He

Aam Lutfay Khuda Aaj Ki Raat He

Abray Rehmat He Mehfil Pay Chaye Huwey

Aasman Say Malaik Hen Aaye Huey

Khud Muhammed Hen Tashreef Laye Huwey

Kis Kadar Jaan Fiza Aaj Ki Raat He

Maang Lo Mang Lo Chashme Tar Mang Lo

Dard E Dil Aur Husn E Nazar Maang Lo

Kamli Wale Ki Nagri Mein Ghar Maang Lo

Mangnay Ka Maza Aaj Ki Raat He

Momino Aaj Ganj E Sakha Lutlo

Lutlo Aie Marizo Shifa Lootlo

Asiyo Rehmat E Mustafa Lootlo

Babay Rehmat Khula Aaj Ki Raat He

Khoob Honay Do Ashkoon Ki Barsat Ko

Do Salami Muhammed Ki Barat Ko

Choom Lo Chum Lo Aaj Ki Raat Ko

Shab Qadar Kay Guman Aaj Ki Raat He

Waqt Laye Khuda Sabh Madinay Chalein

Lutnay Rehmatoon Kay Khazinay Chalein

Sabh Ki Manzil Ki Janib Safinay Chalein

Meri Sa’aim Dua Aaj Ki Raat He


Related Content

  1. Zindagi Hay Nabi Ki Nabi Ke Liye Naat Lyrics
  2. Aamal Nahin Kuch Bhi Yeh Haal Hamara Hai
  3. Meray Kamli Walay Ki Shaan Hi Nirali Hai Naat Lyrics
  4. Meri Jholi Main Rehte Hain Sada Tukre Muhammad Ke  Naat Lyrics
  5. Maine Rukh Kar Liya Madine Ka
  6. Bolte Hain Sangreze Aapke Ishare Se  Naat Lyrics
  7. Ya Rab Hai Bakhsh Dena 
  8. YA TAIBA YA TAIBA
  9. OWAISION MEIN BAITH JA BILALIYON MEIN BAITH JA
  10. Mashgala Aisa Batao Ke Zara  Naat Lyrics
  11. Gar Talab Sey Kuch Masewa Chahey
  12. Dardo Aalam Ke Mare
  13. Mere Ghous Piya Jeelani Hain Mahboob E Subhaani
  14. Hum Ko Sarkar Madine Me Bulaana Hoga  Naat Lyrics
  15. Jahaan Rauza E Pak E Khairul Wara Hai
  16. Kab Talak Muntazir Hum Rahein Ya Nabi  Naat Lyrics
  17. Rabbana Ya Rabbana  Naat Lyrics
  18. Sarkar Ka Madina  Naat Lyrics
  19. A’lam-E-Islam Ko Ye Eid-E-Milaad-Un-Nabi
  20. Hota agar zameen par saya Rasool ka

Leave a comment