Wo Kaisa Sama Hoga Wo Kaisi Gharri Hogi (Naat Lyrics)

Wo Kaisa sama hoga wo kaisi gharri hogi
Jab pehli nazar unkay rozay pay parri hogi

Yay kucha e jana he aahista qadam rakhna
Har ja pay malaaik ki baaraat kharri hogi

Kya saamnay ja kay ham haal apna suna-ayn gay
Sarkar ka dar hoga ashkon ki jharri hogi

Kuchh haathh na aa-ay ga aqa say juda reh kar
Sarkar ki nisbat say toqeer barri hogi

Wo sheesha-ay dil gham say mela na kabhi hoga
Tasweer madinay ki jiss dil mayn jarri hogi

Ho ja-ay jo wabasta sarkar kay qadmon say
Har cheez zamaanay ki qadmon mayn parri hogi

Chaara na koii karna ik naat suna day-na
Nacheez zahoori ki jab saans arri hogi


Related Content

  1. Aap ke Darbar se khali gaya koi nahi
  2. Aagae Mustafa Ki Sawaari
  3. Karam Hai Rab Ka Hamara Naseeb Aala Hai
  4. Noor Wala Aya Hai  Naat Lyrics
  5. Taybah Ki Hai Yaad Aayee Ab Ashk Bahaanay Do
  6. Mujhe Tohfay Mein Mila Ramzan Lyrics
  7. Maare Angariyen Aao Sarkar Madinah Varaa Saanvariah  Naat Lyrics
  8. Jahan Roza-e-Pak Kher-ul-Wara (Naat Lyrics)
  9. Noor Wala Aya Hai Naat Lyrics
  10. Ho Karam Sarkar Ab Tou Ho Gaye Ghum Beshumaar  Naat Lyrics
  11. Nahi He Koi Duniya Main Hamara  Naat Lyrics
  12. Madina Sadi Jaan Hai Lyrics
  13. Ae Ishq e Nabi Meray Dil Mein Bhi Sama Jana
  14. Ay Deen E Haq Ke Rehbar Tum Par Salaam Har Dam
  15. Aankhen purnoor karu dekh ke chehra unka
  16. Ab Bula Lijiye Na Madina Lyrics
  17. Tum Par Main Jan
  18. Arshe Haq Hai Masnade Rifat Rasoolullah Ki – Naat Lyrics
  19. Dekar Khuda Ko Jaan Ki Kimat  Naat Lyrics
  20. Ahmad Raza Ka Taza Gulistan Hai Aaj Bhi

Leave a comment