Madine Ke Zaa-ir Salaam Unse Kehna  Naat Lyrics

Madine Ke Zaair Salam Unse Kahena

Tadapte Hai Tere Gulam Unse Kahena

Ho Jab Samne Sabz Ghumbad tumhare

Nigahe Aqeedat Se Daman Pasare

Hai Hazir Tumhara Ghulam Unse Kahena

Madine Ke Za-ir Salam Unse Kahena

Badi Chahato Se Hai Iss Darr Ko Paya

Pada Hi Rahu Darr Na Chute Tumhara

Na Jaunga Ab Tishnakam Unse Kahena

Madine Ke Za-ir Salam Unse Kahena

Phire Kab Talak Darr Ba-Darr Be Sahare

Kise Jaye Hum Apne Dil Ki Sunane

Tumhi To Banate Ho Kam Unse Kahena

Madine Ke Za-ir Salam Unse Kahena

Isi Arzu Me Guzarte Rahe Din

Ki Pahuche Dayare Nabi Hum Bhi Lekin

Nahi Hai Koi Intezam Unse Kahena

Madine Ke Za-ir Salam Unse Kahena

Dikha Do Anas Ko Dilkash Nazare

Taraste Hai Jinko Musalman Sare

Ye Batein Basad Ehteram Unse Kahena

Madine Ke Za-ir Salam Unse Kahena


Related Content

  1. Azal Ki Khushboo Ho Jis Mein Pinhaa’n Koi Bataye To Naam Aisa Lyrics
  2. Jo Madina Hum Bhi Jaate To Kuch Aur Baat Hoti (Naat Lyrics)
  3. Na Tera Khuda Koi Aur Hai Lyrics
  4. Baabe Haram Khula Hai Chati Ki Bahar Hai Lyrics
  5. Bigare Huwe Bante Hain Kam Madine Me  Naat Lyrics
  6. Hasbi Rabbi Jallal Lah Allah Ho Allah
  7. Khairat Lene Aagaye Mangte Tumhare Khwaja  Naat Lyrics
  8. Azal Ki Khushboo Ho
  9. Bheeni Suhani Subh Mein Thandak Jigar Ki Hai  
  10. Aankhon ka taara naame Muhammed
  11. MERE BAGHDAADI GHAUSUL ANAAM NAAT LYRICS
  12. Darpesh Ho Taiba Ka Safar Kaisa Lage Ga Naat Lyrics
  13. Arsh Ka Dulha Aaya Hai Naat
  14. Hum Gunahgaaron Ka Aye Rab Ke Rasool
  15. Yeh Sab Tumahara Karam Hai Aqa
  16. Karam Hai Rab Ka Hamara Naseeb Aala Hai
  17. Islam Zindabad, Islam Zindabad
  18. Jo Madina Hum Bhi Jaate (Naat Lyrics)
  19. Dil Madina Mera Bana Aaqa Naat Lyrics
  20. Bigri Banaa-o Makki Madani (Naat Lyrics)

Leave a comment