Nahi He Koi Duniya Main Hamara  Naat Lyrics

Nahi He Koi Duniya Main Hamara Ya Rasool AllahFaqat Hay Aap Hee Ka Ik Sahara Ya Rasool AllahSarapa Maaseaat Hoon Baar Hay Bay Ham Gunahoon Ka
Bachana Nar-E-Dozakh Say Khuda Raa Ra Rasool Allah
Faqat Hay Aap Hee Ka Ik Sahara Ya Rasool AllahTalatum Khaiz Hay Daria Bhanwar Main Hay Mairi Kashti
Nazar Aata Naheen Koi Kinara Ya Rasool Allah
Faqat Hay Aap Hee Ka Ik Sahara Ya Rasool Allah

Faqat Aamal Kay Badlay Naan Paye Ga Koi Janat
Naan Ho Ga Jab Talak Tera Ishara Ya Rasool Allah
Faqat Hay Aap Hee Ka Ik Sahara Ya Rasool Allah

Haqeeqat Main Bohat Berh Kar Hay Arsh-E-Mo’ala Sey
Zameen Jiss Par Ho Naqsh-E-Paa Tumhara Ya Rasool Allah
Faqat Hay Aap Hee Ka Ik Sahara Ya Rasool Allah

Tarapta Hay Maira Dil Aur Tarasti Hain Bohat Aankhaien
Bula Loophir Madinay Main Dobara Ya Rasool Allah
Faqat Hay Aap Hee Ka Ik Sahara Ya Rasool Allah

Gunahgaaraan-E-Ummat Ka Khajal Hoona Saza Pana
Tairi Rehmat Ko Kab Ho Ga Gawara Ya Rasool Allah
Faqat Hay Aap Hee Ka Ik Sahara Ya Rasool Allah

Dam-E-Aakhir Zara Hassam Par Itna Karam Karna
Keh Uss Kay Lab Par Hoo Kalma Tumhara Ya Rasool Allah
Faqat Hay Aap Hee Ka Ik Sahara Ya Rasool Allah

Naheen Hay Koi Dunia Main Hamara Ya Rasool Allah
Faqat Hay Aap Hee Ka Ik Sahara Ya Rasool Allah


Related Content

  1. Sabke Hajat Rawa Garib Nawaj  Naat Lyrics
  2. An Nabi Sallo Alaih – Salawathullah Alaih
  3. Har Waqt Tasaw’wur Mein Madine Ki Gali Ho  Naat Lyrics
  4. Ab Kahan Jaon Tarap Ke Lyrics
  5. Kankar Se Kalma Padhwao Phir Kehna Hum Jaise The
  6. Meh Toh Panj Than Ka Ghulaam Hun (Naat Lyrics)
  7. YA TAIBA YA TAIBA
  8. Aa mil yaar saar le meri, meri jaan dukhaan ne
  9. Munawwar Meri Aankhon ko Naat Lyrics
  10. Ya Rabb Tere Mahboob Ka Jalwa Nazar Aaye (Naat Lyrics)
  11. Nazar Ko Bax Do Aisa Asar GARIB NAWAZ  Naat Lyrics
  12. Meray Rub Kahan Par Naheeh Hai Tu
  13. Apne Damane Shafa’at Mein Chhupaye Rakhna Naat Lyrics
  14. KHWAJA E HIND WO DARBAAR HAI AALA TERA NAAT LYRICS
  15. Madine Ke Waali Do Alam Ke Data Naat Lyrics
  16. aaka ko pukar bande aaka pukar
  17. Mil Gaya Dar Tera Garib Nawaz  Naat Lyrics
  18. Zikre Aaqa Se Seena Saja Hai Naat Lyrics
  19. Ae Mowla Ik Baar Dikhadey Jalwa Kamli Waley Ka
  20. Subhe Baharaan  Naat Lyrics

Leave a comment