Aa Jaaye Bulawa Mujhe Aqa Tere Dar Se

Aa jaaye bulawa mujhe AQA Tere Dar se
Jis Dar ki ghulaami ko to jibreel bhi tarse

Paidal hi nikalte hain, masaafat ka nahin khauf
Thakte hi nahin ham to Madine ke safar se

Sunnat pe Teri chalne ka aa jaaye qareena
Ye abr-e-karam kaash mere dasht pe barse

Zarrah bhi lage gohar-o-almaas se badh kar
Dekhe to koii khaak-e-arab meri nazar se

Ek main hi nahin taalib-e-jalwa mere AQA!
Har ek musalmaan Tere deed ko tarse

Naamoos-e-Muhammad ke liye jaan bhi doon ga
Ho jaaun ga waaqif main shahaadat ke hunar se

Dunya ke faqat chand hi lamhaat the guzre
Ho aaye payambar mere sadiyaun ke safar se

Jo shaam-o-sahar Salle Alaa kehta rahe ga
Aaye ga bulawa usay AQA ke nagar se

Kuch khauf nahin mujh ko kadee dhoop ka Amjad
Saaya mujhe miltaa hai Risaalat ke shajar se


Related Content

  1. Mujhe bhi MADINAY bulaa Mayray Mowla
  2. Qurban Tumpe Meri Jaan
  3. Mein Mangta Haan Teray Ishq Da  Naat Lyrics
  4. Bheeni Suhani Subh Mein Thandak Jigar Ki Hai  
  5. Aa Gaye Aa Gaye Mustafa Aa Gaye
  6. Rifaete Subhe Saadat Zindabad  Naat Lyrics
  7. Muhammad Ke Shaher Mein   Naat Lyrics
  8. Kaba Lyrics
  9. Kabe Ki Ronak Kabe Ka Manzar  Naat Lyrics
  10. Aa Jaye Bulawa Mujhe Aqa Tere Dar Se
  11. Jidhar Dekhu Madine Ka Haram Ho  Naat Lyrics
  12. Tala Al Badru Alyna
  13. Aakhri Lamhon Mein Kya Shehr O Biyabaan Dekhun
  14. Arsh Ka Dulha Aaya Hai Naat Lyrics
  15. Ae Sabz Gumbad Wale Lyrics
  16. Zindagi Hay Nabi Ki Nabi Ke Liye Naat Lyrics
  17. Sabke Hajat Rawa Garib Nawaj  Naat Lyrics
  18. Karam Ke Badal Baras Rahe Hain  Naat Lyrics
  19. Aaj Milad e Nabi Hai
  20. Mujhe Do Bheekh Ulfat Ki Madine Main Chala Aaun

Leave a comment